gardan men hain wo baahen gardish men hain paimaane
— Josh Malihabadi
Gardan men hain wo baahen gardish men hain paimaane
Kya diin hai kya Dunya shaa.ir kee balaa jaane
Kuch siikh saken shaayad aabaadiyaan shahron se
Ai raah-ravo Thahro Kuch kahte hain veeraane
Mutrib wo uThe parde saaqee wo khule uqde
Haan yuun hee damaadam de paimaanon pe paimaane
Ham ishq se kya vaaqif vaaqif hain to sirf itnaa
Aaghaaz halaakat hai anjaam khuda jaane
Jo ghuncha-o-shabnam the kal raat ke honTon par
Ab sub.h ke kaanon par nashtar hain wo afsaane
Ai 'josh' ulajhtaa hai kyon shaikh-e-subuk-sar se
Wo ishq ko kya samjhe wo husn ko kya jaane