ghataa chhaaii to kya
— Josh Malihabadi
ChhaT ga.e jab aap hee uudee ghaTaa chhaa.ee to kya
Turbat-e-paamaal ke sabze pe lahar aa.ee to kya
Jab zaroorat hee rahi baaqee na lahn-o-rang kee
Koyalen kookeen to kya saavan kee rut aa.ee to kya
Hijr ke aalaam se jab chhuT chukee nabz-e-nashaat
Ab havaa ne khaar-o-khas men ruuh dauDaa.ee to kya
Ho chukee zauq-e-tabassum hee se jab begaanagee
Ab chaman-afroz phoolon ko hansee aa.ee to kya
MuD chukee jab maut ke jaade kee jaanib zindagee
Ab kisee ne aafiyat kee raah dikhlaa.ee to kya
Har nafas ke saath dil se jab dhuaan uThne lagaa
Baadalon se chhan ke ab ThanDee havaa aa.ee to kya
Saamne jab aap ke gesoo kee lahren hee nahin
Badliyon ne charkh par ab zulf bikhraa.ee to kya
Ho chukaa paayaab jab bahr-e-sar-o-barg-e-shabaab
Ab samundar kee javaanee baaDh par aa.ee to kya
Ghuncha-e-ahd-e-tarab hee mil chukaa ab khaak men
Khaak-e-gulshan ab gul-e-tar ban ke itraa.ee to kya
MiT chuke jab vaalihaana baankpan ke valvale
Aa.ee ab dosheeza-e-mausam ko Angdhaai to kya
Khul chukaa jab parcham-e-gham zindagee ke qasr par
Ab havaaon ne kamar paudon kee lachkaa.ee to kya
Aansuon men bah ga.iin jab Khoon kee jaulaaniyaan
Jangalon kee Chaaon men barsaat iThlaa.ee to kya
'josh' ke pahloo men jab tum hee machal sakte nahin
Phir ghaTaa ke daamanon men barq lahraa.ee to kya
ChhaT gae jab aap hi udi ghaTa chhai to kya
Turbat-e-pamal ke sabze pe lahar aai to kya
Jab zarurat hi rahi baqi na lahn-o-rang ki
Koyalen kukin to kya sawan ki rut aai to kya
Hijr ke aalam se jab chhuT chuki nabz-e-nashat
Ab hawa ne KHar-o-KHas mein ruh dauDai to kya
Ho chuki zauq-e-tabassum hi se jab beganagi
Ab chaman-afroz phulon ko hansi aai to kya
MuD chuki jab maut ke jade ki jaanib zindagi
Ab kisi ne aafiyat ki rah dikhlai to kya
Har nafas ke sath dil se jab dhuan uThne laga
Baadalon se chhan ke ab ThanDi hawa aai to kya
Samne jab aap ke gesu ki lahren hi nahin
Badliyon ne charKH par ab zulf bikhrai to kya
Ho chuka payab jab bahr-e-sar-o-barg-e-shabab
Ab samundar ki jawani baDh par aai to kya
Ghuncha-e-ahd-e-tarab hi mil chuka ab KHak mein
KHak-e-gulshan ab gul-e-tar ban ke itrai to kya
MiT chuke jab walihana bankpan ke walwale
Aai ab doshiza-e-mausam ko angDai to kya
Khul chuka jab parcham-e-gham zindagi ke qasr par
Ab hawaon ne kamar paudon ki lachkai to kya
Aansuon mein bah gain jab KHun ki jaulaniyan
Jangalon ki chhanw mein barsat iThlai to kya
'josh' ke pahlu mein jab tum hi machal sakte nahin
Phir ghaTa ke damanon mein barq lahrai to kya