hairat hai aah e subh ko saarii fazaa sune

Josh Malihabadi

Hairat hai aah-e-sub.h ko saaree fazaa sune Lekin zameen pe but na falak par khuda sune Fariyaad-e-andaleeb se kaanpe tamaam baagh Lekin na gul na ghuncha na baad-e-sabaa sune Khud apnee hee sadaaon se goonje hue hain kaan Koee kisee kee baat sune bhee to kya sune Ye bhee ajab tilism hai ai shorish-e-hayaat Dard-aashnaa kee baat na dard-aashnaa sune Shaahon ke dil to sang hain shaahon kaa zikr kya Ye bhee naheen ki haal gadaa kaa gadaa sune Aalam hai ye ki gosh-e-bashar tak hai be-niyaaz Honaa thaa ye ki banda kahe aur khuda sune Sunte bhee hain jo log to yuun daastaan-e-gham Jaise yazeed saaneha-e-karbalaa sune Haan ai khuda-e-arsh-e-bareen o butaan-e-farsh Tum men se ho koee to miraa maajraa sune Pashmeena-posh raah-nasheenon kee iltijaa Shaayad kabhee wo shaahid-e-atlash-qabaa sune Ham naadir o yazeed na hajjaaj hain na shimr Allaah aur 'josh' hamaaree duaa sune