kaafir banuungaa kufr kaa saamaan to kiijiye
— Josh Malihabadi
Kaafir banoongaa kufr kaa saamaan to keejiye
Pahle ghaneree zulf pareshaan to keejiye
Us naaz-e-hosh ko ki hai muusaa pe taana-zan
Ik din naqaab ulaT ke pasheemaan to keejiye
Ushshaaq bandagaan-e-khuda hain khuda naheen
ThoDaa saa narkh-e-husn ko arzaan to keejiye
Qudrat ko khud hai husn ke alfaaz kaa lihaaz
Iifaa bhee ho hee jaa.egaa paimaan to keejiye
Taa-chand rasm-e-jaama-daree kee hikaayaten
Takleef yak-tabassum-e-pinhaan to keejiye
Yuun sar na hogee 'josh' kabhee ishq kee muhim
Dil ko khirad se dast-o-garebaan to keejiye