kaun le gaya ai yaar e dil nashiin wo adaa kaun le gaya
— Josh Malihabadi
Ai yaar-e-dil-nasheen wo adaa kaun le gaya
Tere nageen se naqsh-e-wafa kaun le gaya
Hal kar diyaa tha jis ne muamma shabaab kaa
Tujh se wo fikr-e-uqda-kushaa kaun le gaya
Thaa lutf pahle qahr men ab sirf qahr hai
Zulmat se mauj-e-aab-e-baqaa kaun le gaya
Kyuun daf.atan labon pe khamoshee see chhaa ga.ee
Is saaz-e-dil-nasheen kee sadaa kaun le gaya
Aankhon se shaan-e-bazl-o-sakhaa kis ne chheen lee
Siine se zauq-e-lutf-o-ataa kaun le gaya
Thiin jis kee rau se khoon-e-tamannaa men surkhiyaan
Rukhsaar se wo rang-e-wafa kaun le gaya
Raaton ko maangnaa tha duaa meree diid kee
Vo minnaten wo zauq-e-duaa kaun le gaya
Ai shaah banda-parvar-e-sultaan-e-narm-dil
Dil se tire khayaal-e-gadaa kaun le gaya
Pahlee see wo kalaam men narmee nahin rahi
Guftaar se mizaaj-e-sabaa kaun le gaya
Ab 'josh' ke liye hain na aansoo na aah-e-sard
Is gulsitaan kee aab-o-havaa kaun le gaya
Ai yar-e-dil-nashin wo ada kaun le gaya
Tere nagin se naqsh-e-wafa kaun le gaya
Hal kar diya tha jis ne muamma shabab ka
Tujh se wo fikr-e-uqda-kusha kaun le gaya
Tha lutf pahle qahr mein ab sirf qahr hai
Zulmat se mauj-e-ab-e-baqa kaun le gaya
Kyun dafatan labon pe KHamoshi si chha gai
Is saz-e-dil-nashin ki sada kaun le gaya
Aankhon se shan-e-bazl-o-saKHa kis ne chhin li
Sine se zauq-e-lutf-o-ata kaun le gaya
Thin jis ki rau se KHun-e-tamanna mein surKHiyan
RuKHsar se wo rang-e-wafa kaun le gaya
Raaton ko mangna tha dua meri did ki
Wo minnaten wo zauq-e-dua kaun le gaya
Ai shah banda-parwar-e-sultan-e-narm-dil
Dil se tere KHayal-e-gada kaun le gaya
Pahli si wo kalam mein narmi nahin rahi
Guftar se mizaj-e-saba kaun le gaya
Ab 'josh' ke liye hain na aansu na aah-e-sard
Is gulsitan ki aab-o-hawa kaun le gaya