koi daaraa e jaan hai kya maaluum
— Josh Malihabadi
Koi daaraa-e-jaan hai kya ma.aloom
Yaa faqat daastaan hai kya ma.aloom
Kya hudood-e-yaqeen men hai khallaaq
Yaa saraasar gumaan hai kya ma.aloom
Aarzoo thee khuda ko yaa haajat
Kyuun vajood-e-jahaan hai kya ma.aloom
Lahv yaa khud men naqs kaa ehsaas
Illat-e-ins-o-jaan hai kya ma.aloom
Iztiraaran ki ba.ad-e-fikr-e-daqeeq
Khil.at-e-een-o-aan hai kya ma.aloom
Kis liye kis taraf bahar saa.at
Rakhsh-e-hastee davaan hai kya ma.aloom
Kis khalaa-e-nazar ke bharne ko
Ye zameen aasmaan hai kya ma.aloom
Hai kaheen aaftaab-e-zaat-o-sifaat
Yaa shuaa-e-bayaan hai kya ma.aloom
Kuch nahin hai ba-juz fareb yahaan
Aur sab Kuch vahaan hai kya ma.aloom
Kis liye aql ke safeene men
Naql kaa baadbaan hai kya ma.aloom
Chaaploosee men kis liye mashghool
Khail-e-karrubiyaan hai kya ma.aloom
MalgajaahaT see hai sar-e-gardoon
Abr hai yaa dhuaan hai kya ma.aloom
Wo tavaanaa.ee hai ki shakhsiyyat
Kaun shaah-e-zamaan hai kya ma.aloom
Ban ke peechhe hai ik khafee halchal
Gard-e-paa kaarvaan hai kya ma.aloom
Shar hai kyuun is qadar laheem-o-shaheem
Khair kyuun neem-jaan hai kya ma.aloom
Shaitanat kyuun hai rashk-e-maah-e-muneer
Kyuun risaalat kataan hai kya ma.aloom
Kaun said-e-gunaah hai amdan
Kyuun jahannum tapaan hai kya ma.aloom
Kya havaadis ba-taur-e-mashghala hain
Yaa sar-e-imtihaan hai kya ma.aloom
Aur kyuun imtihaan ke chakkar men
Aalim-o-ghaib-daan hai kya ma.aloom
Kaun in faaqa-kash ghareebon kaa
Zaamin-e-aab-o-naan hai kya ma.aloom
Aankhen labrez hain suboo khaalee
Kaun peer-e-mughaan hai kya ma.aloom
Sikka-e-maut shahr-e-hastee men
Kis khataa par ravaan hai kya ma.aloom
Nafs-e-ammaara bakhshne vaalaa
Ham se kyuun sar-garaan hai kya ma.aloom
Kyuun hamaaree zameen par har aan
Karbalaa kaa samaan hai kya ma.aloom
Is buree tarah munh se kyuun baahar
Aadmee kee zabaan hai kya ma.aloom
'josh' noor-e-khuda pe kyuun haavee
Rang-e-roo-e-butaan hai kya ma.aloom