manaazir e sahar
— Josh Malihabadi
Kya rooh-fazaa jalva-e-rukhsaar-e-sahar hai
Kashmeer dil-e-zaar hai firdaus-e-nazar hai
Har phuul kaa chehra araq-e-husn se tar hai
Har chiiz men ik baat hai har shai men asar hai
Har samt bhaDaktaa hai rukh-e-hoor kaa sho.ala
Har zarra-e-naacheez men hai tuur kaa sho.ala
Larzish wo sitaaron kee wo zarron kaa tabassum
Chashmon kaa wo bahnaa ki fidaa jin pe tarannum
Gardoon pe sapedee-o-siyaahi kaa tasaadum
Toofaan wo jalvon kaa wo naghmon kaa talaatum
UDte hue gesoo wo naseem-e-saharee ke
Shaanon pe pareshaan hain yaa baal paree ke
Vo phailnaa khushboo kaa wo kaliyon kaa chaTaknaa
Vo chaandnee maddham wo samundar kaa jhalaknaa
Vo Chaaon men taaron kee gul-e-tar kaa mahaknaa
Vo jhoomnaa sabze kaa wo kheton kaa lahaknaa
Shaakhon se milee jaatee hain shaakhen wo asar hai
Kahtee hai naseem-e-saharee eed-e-sahar hai
Khunkee wo bayaabaan kee wo rangeeni-e-sahraa
Vo vaadee-e-sarsabz wo taalaab-e-musaffaa
Peshaani-e-gardoon pe wo hanstaa huaa taaraa
Vo raaste jangal ke wo bahtaa huaa Dariya
Har samt gulistaan men wo ambaar gulon ke
Shabnam se wo dho.e hue rukhsaar gulon ke
Vo ruuh men anvaar-e-khuda sub.h wo saadiq
Vo husn jise dekh ke har aankh ho aashiq
Vo saadgee insaan kee fitrat ke mutaabiq
Zarreen wo ufuq nuur se labrez wo mashriq
Vo naghma-e-daa.ood parindon kee sadaa men
Pairaahan-e-yoosuf kee wo taaseer havaa men
Vo barg-e-gul-e-taaza wo shabnam kee lataafat
Ik husn se wo khanda-e-saamaan-e-haqeeqat
Vo jalva-e-asnaam wo but-khaane kee zeenat
Zaahid kaa wo manzar wo barhaman kee sabaahat
Naaqoos ke siine se sadaa.en wo fughaan kee
Vo hamd men Duubee huee awaaz azaan kee
Aaqaa kaa ghulaamon se ye hai qurb kaa hangaam
Dil hote hain sarshaar fanaa hote hain aalaam
Chhaa jaatee hai rahmat to baras paDte hain in.aam
Is waqt kisee tarah munaasib nahin aaraam
Rone men jo lazzat hai to aahon men mazaa hai
Ai ruuh khudee chhoD ki nazdeek khuda hai
Kya ruh-faza jalwa-e-ruKHsar-e-sahar hai
Kashmir dil-e-zar hai firdaus-e-nazar hai
Har phul ka chehra araq-e-husn se tar hai
Har chiz mein ek baat hai har shai mein asar hai
Har samt bhaDakta hai ruKH-e-hur ka shoala
Har zarra-e-nachiz mein hai tur ka shoala
Larzish wo sitaron ki wo zarron ka tabassum
Chashmon ka wo bahna ki fida jin pe tarannum
Gardun pe sapedi-o-siyahi ka tasadum
Tufan wo jalwon ka wo naghmon ka talatum
UDte hue gesu wo nasim-e-sahari ke
Shanon pe pareshan hain ya baal pari ke
Wo phailna KHushbu ka wo kaliyon ka chaTakna
Wo chandni maddham wo samundar ka jhalakna
Wo chhanw mein taron ki gul-e-tar ka mahakna
Wo jhumna sabze ka wo kheton ka lahakna
ShaKHon se mili jati hain shaKHen wo asar hai
Kahti hai nasim-e-sahari id-e-sahar hai
KHunki wo bayaban ki wo rangini-e-sahra
Wo wadi-e-sarsabz wo talab-e-musaffa
Peshani-e-gardun pe wo hansta hua tara
Wo raste jangal ke wo bahta hua dariya
Har samt gulistan mein wo ambar gulon ke
Shabnam se wo dhoe hue ruKHsar gulon ke
Wo ruh mein anwar-e-KHuda subh wo sadiq
Wo husn jise dekh ke har aankh ho aashiq
Wo sadgi insan ki fitrat ke mutabiq
Zarrin wo ufuq nur se labrez wo mashriq
Wo naghma-e-daud parindon ki sada mein
Pairahan-e-yusuf ki wo tasir hawa mein
Wo barg-e-gul-e-taza wo shabnam ki latafat
Ek husn se wo KHanda-e-saman-e-haqiqat
Wo jalwa-e-asnam wo but-KHane ki zinat
Zahid ka wo manzar wo barhaman ki sabahat
Naqus ke sine se sadaen wo fughan ki
Wo hamd mein Dubi hui aawaz azan ki
Aaqa ka ghulamon se ye hai qurb ka hangam
Dil hote hain sarshaar fana hote hain aalam
Chha jati hai rahmat to baras paDte hain inam
Is waqt kisi tarah munasib nahin aaram
Rone mein jo lazzat hai to aahon mein maza hai
Ai ruh KHudi chhoD ki nazdik KHuda hai