mujh se saaqii ne kahii raat ko kya baat ai josh
— Josh Malihabadi
Mujh se saaqee ne kahee raat ko kya baat ai 'josh'
Yaanee azdaad hain parvarda-e-yak-zaat ai 'josh'
Mast o begaana guzar jaa kura-e-khaakee se
Ye to hai rahguzar-e-sail-e-khayaalaat ai 'josh'
Aur to aur khud insaan bahaa jaataa hai
Kitnaa pur-haul hai toofaan-e-rivaayaat ai 'josh'
Log kahte hain hijaabaat naheen juz aayaat
Kis se kahiye ki ye aayaat hain khud zaat ai 'josh'
Ahl-e-alfaaz sharee.at pe miTe jaate hain
Kis ko samjhaa.oon mashiyyat ke ishaaraat ai 'josh'
Dekhiye sub.h-e-junoon zehn men kab taal.e ho
Aql suntaa hoon ki hai ik abadee raat ai 'josh'
Quvvat-e-kal ke masaaleh se aur itne bad-zan
Vaa.e bar-daghdagha-e-ahl-e-munaajaat ai 'josh'
Saaghar-e-mai hee men hota hai tuloo aur ghuroob
Aafreen bar-dil-e-rindaan-e-kharaabaat ai 'josh'
Kaun maanegaa ki hain ain-e-mashiyyat vallaah
Zindagaanee ke ye bigDe hue aadaat ai 'josh'
Tujh ko kya faqr men raahat hai ki shaahee men faraagh
Too to hai khalvati-e-peer-e-kharaabaat ai 'josh'