na chhed shaair rabaab e rangiin ye bazm Abhi nukta daan nahin hai
— Josh Malihabadi
Na chheD shaa.ir rabaab-e-rangeen ye bazm abhee nukta-daan nahin hai
Tiree navaa-sanjiyon ke shaayaan fazaa-e-hindostaan nahin hai
Tiree samaa.at nigaar-e-fitrat ke lahn kee raaz-daan nahin hai
Vagarna zarra hai kaun aisa ki jis ke munh men zabaan nahin hai
Agarche paamaal hain ye bahren magar sukhan hai buland hamdam
Na dil men laanaa gumaan-e-pastee miree zameen aasmaan nahin hai
Zameer-e-fitrat men pur-fishaan hai chaman kee tarteeb-e-nau kaa armaan
Khizaan jise to samajh raha hai wo dar-haqeeqat khizaan nahin hai
Hareem-e-anvaar-e-sarmadee hai har ek zarra ba-rabb-e-kaaba
Miraa ye ainee mushaaheda hai fareb-e-vahm-o-gumaan nahin hai
Har ek kaanTe pe surkh kirnen har ik kalee men charaagh raushan
Khayaal men muskuraane vaale tiraa tabassum kahaan nahin hai
Falak se hangaam-e-sher-goee sadaa.en paiham ye aa rahee hain
Ki aaj ai 'josh' nukta-parvar tiraa saa jaadoo bayaan nahin hai