naqsh e khayaal dil se mitaayaa nahin hanuuz
— Josh Malihabadi
Naqsh-e-khayaal dil se miTaayaa naheen hanooz
Be-dard main ne tujh ko bhulaayaa naheen hanooz
Wo sar jo teree raahguzar men thaa sajda-rez
Main ne kisee qadam pe jhukaayaa naheen hanooz
Mehraab-e-jaan men too ne jalaayaa thaa khud jise
Siine kaa wo charaagh bujhaayaa naheen hanooz
Behosh ho ke jald tujhe hosh aa gaya
Main bad-naseeb hosh men aayaa naheen hanooz
Mar kar bhee aa.egee ye sadaa qabr-e-'josh' se
Be-dard main ne tujh ko bhulaayaa naheen hanooz