numaayaan muntahaa e sai e paiham hotii jaatii hai

Josh Malihabadi

Numaayaan muntahaa-e-sai-e-paiham hotee jaatee hai Tabee.at be-niyaaz-e-har-do-aalam hotee jaatee hai UThee jaatee hai dil se haibat-e-aalaam-e-roohaanee Jaraahat bahr-e-qalb-e-zaar marham hotee jaatee hai Kinaaraa kar raha hai ruuh se haijaan-e-sartaabee Ki gardan justujoo ke shauq men kham hotee jaatee hai Junoon kaa chhaa raha hai zindagee par ik dhundalkaa saa Khirad kee raushnee siine men maddham hotee jaatee hai Naseem-e-be-niyaazee aa rahi hai baam-e-gardoon se Uroos-e-mudda.aa kee zulf barham hotee jaatee hai Numaayaan ho chalaa hai ik jahaan chashm-e-tasavvur par Nazar shaayad hareef-e-saaghar-e-jam hotee jaatee hai Girah yuun khul rahi hai har nafas zauq-e-tamaashaa kee Ki har adnaa see shai ab ek aalam hotee jaatee hai Fazaa men kaanptee hain dhundlee dhundlee nuqra.ee shaklen Har ik takh.eel-e-paakeeza mujassam hotee jaatee hai Na jaane seena-e-ehsaas par ye haat hai kis kaa Tabee.at be-niyaaz-e-shaadee-o-gham hotee jaatee hai Samajh men aa.en kya baareekiyaan qaanoon-e-qudrat kee Ibaadat kasrat-e-ma.anee se mub.ham hotee jaatee hai Khajil tha jis kee shorish se talaatum bahr-e-hastee kaa Mire dil men wo halchal 'josh' ab kam hotee jaatee hai