pand naama ai majaaz ai taraana baar majaaz
— Josh Malihabadi
Ai majaaz ai taraana-baar majaaz
Zinda paighambar-e-bahaar majaaz
Ai baroo-e-saman-vishaan gul-posh
Ai ba koo-e-mughaan tamaam kharosh
Ai parastaar-e-mah-rukhaan-e-jahaan
Ai kamaan-daar-e-shaa.iraan-e-javaan
Tujh se taabaan jabeen-e-mustaqbil
Ai mire seena-e-umeed ke dil
Ai majaaz ai mubassir-e-khad-o-khaal
Ai shu.oor-e-jamaal o sham-e-khayaal
Ai surayyaa-fareb o zohra-navaaz
Shaa.ir-e-mast o rind-e-shaahid-baaz
Naaqid-e-ishva-e-shabaab hai too
Sub.h-e-fardaa kaa aaftaab hai too
Tujh ko aayaa hoon aaj samjhaane
Haif hai too agar buraa maane
Khud ko gharq-e-sharaab-e-naab na kar
Dekh apne ko yuun kharaab na kar
Shaa.iree ko tiree zaroorat hai
Daur-e-fardaa kee too amaanat hai
Sirf teree bhalaa.ee ko ai jaan
Ban ke aayaa hoon naaseh-e-naadaan
Ek Thahraav ik takaan hai too
Dekh kis darja dhaan-paan hai too
Nang hai mahz ustukhaan honaa
Sakht ihaanat hai naa-tavaan honaa
Ustukhvaanee badan dukhaanee post
Ek sangeen jurm hai ai dost
Sharm kee baat hai vajood-e-saqeem
Naa-tavaanee hai ik gunaah-e-azeem
Jism aur ilm turfa taaqat hai
Yahee insaan kee nubuvvat hai
Jo za.eef-o-aleel hota hai
Ishq men bhee zaleel hota hai
Har hunar ko jo ek daulat hai
Ilm aur jism kee zaroorat hai
Kasrat-e-baada rang laatee hai
Aadmee ko lahoo rulaatee hai
Khush-dilon ko rulaa ke hanstee hai
Sham-e-akhtar bujhaa ke hanstee hai
Aur jab aafat jigar pe laatee hai
Rind ko maulvee banaatee hai
Mai se hota hai maqsad-e-dil faut
Mai hai buniyaad-e-maulviyyat-o-maut
Kaan men sun ye baat hai nashtar
Maulviyyat hai maut se bad-tar
Is se hota hai kaar-e-umr tamaam
Is se hota hai aql ko sarsaam
Is men insaan kee jaan jaatee hai
Is men shaa.ir kee aan jaatee hai
Ye zameen aasmaan kya shai hai
Aan jaa.e to jaan kya shai hai
Gauhar-e-shaah-vaar chun pyaare
Mujh se ik gur kee baat sun pyaare
Gham to bantaa hai chaar din men nashaat
Shaadmaanee se rah bahut mohtaat
Gham ke maare to jee rahe hain hazaar
Naheen bachte hain aish ke beemaar
Aan men dil ke paar hotee hai
PankhuDee men wo dhaar hotee hai
Joo-e-ishrat men gham ke dhaare hain
Yakh-o-shabnam men bhee sharaare hain
Haan sambhal kar lataafaton ko barat
TuuT jaa.e kaheen na koi parat
Dekh kar sheesha-e-nashaat uThaa
Ye varaq hai varaq hai sone kaa
Kaaghaz-e-baad ye nageena hai
Balki ai dost aabgeena hai
Saaghar-e-shabnam-e-khush-aab hai ye
Aabgeena nahin habaab hai ye
Rok le saans jo qareeb aa.e
Thes us ko kaheen na lag jaa.e
Tegh-e-mastee ko ehtiyaat se chhoo
Varna Tapkegaa ungliyon se lahoo
Mastiyon men hai taab-e-jalva-e-maah
Aur siyah mastiyaan khuda kee panaah
Khuub hai ek had pe qaa.em nasha
Halkaa phulkaa subuk mulaa.em nasha
Haan adab se uThaa adab se jaam
Taaki aab-e-halaal ho na haraam
Jaam par jaam jo chaDhaate hain
UunT kee tarah bilbilaate hain
Zindagee kee havas men marte hain
Mai ko rusvaa-e-dahr karte hain
Yaad hai jab 'jigar' chaDhaate the
Kyaa alif ho ke hin-hinaate the
Meree gardan men bhar ke chand aahen
Paanv se Daalte the wo baanhen
Aql kee maut ilm kee pastee
Al-amaan la.anat-e-siyah mastee
Uf ghaTaa-Top nashshe kaa toofaan
Bhuut ifreet dev jin shaitaan
Laat ghoonsa chhaDee chhuree chaaqoo
Lib-libaahaT luaab kaf badboo
Tanz aavaaza barhamee ifsaad
Ta.an tashnee.a maz.haka eeraad
Shor hoo-haq abe-tabe hai hai
Aukhiyaan gaaliyaan dhamaake qai
Mas-masaahaT ghashee tapish chakkar
Soz sailaab sansanee sarsar
Chal-chakhe cheekh chunaan-chuneen chinghaaD
Chakh-chakhe chaa.oon chaa.oon cheel-chilhaaD
Lappaa-Dukki lataam laam laDaa.ee
Haul haijaan haank haathaa-paa.ee
Khalbalee kaaon kaaon khaT-manDal
Haunk hangaama hamhama halchal
Uljhan aavaargee udham aiThan
Bhaunk bhaun bhaun bhinan bhinan bhan-bhan
Dhaul-dhappaa dhakaD-pakaD dhutkaar
Tahlka too taDaaq tuf takraar
Boo bhabhak bhay bikas barar bhaunchaal
Dabdabe dandanaahaTen dhammaal
Gaah narmee o lutf o mehr o salaam
Gaah talkhee o turshee o dushnaam
Aql kee maut ilm kee pastee
Al-amaan la.anat-e-siyah mastee
Sirf nashshe kee bheegne de masen
In ko banne na de kabhi monchhen
Al-amaan khaufnaak kaalaa nasha
Oh reesh-o-buroot vaalaa nasha
Azhdar-e-marg o dev-e-khoon-khvaaree
Al-amaan nashsha-e-''jaTaadhaaree''
Nashshe kaa jhuT-puTaa hai noor-e-hayaat
JhuTpuTe ko banaa na kaalee raat
Nashshe kee tez raushnee bhee ghalat
Chaudhveen kee see chaandnee bhee ghalat
Zehn-e-insaan ko bakhshtaa hai jamaal
Nashsha ho jab ye qadr-e-noor-e-hilaal
Ghurfa-e-aql bheD to akasr
Par use kach-kachaa ke band na kar
Raat ko lutf-e-jaam hai pyaare
Din kaa piinaa haraam hai pyaare
Din hai ifreet-e-aaz kee khankaar
Raat paazeb naazukee jhankaar
Din hai khaashaak khaak dhuul dhuaan
Raat aa.eena anjuman afshaan
Din musallah davaan kamar basta
Raat taaq-o-ravaaq-o-gul-dasta
Din hai faulaad-e-sang tegh-e-alam
Raat kam-khvaab pankhuDee shabnam
Din hai shevan duhaa.iyaan dukhDe
Raat mast ankhDiyaan javaan mukhDe
Din kaDee dhoop kee bad-aahangee
Raat pichhle pahar kee saarangee
Din bahaadur kaa baan biir kee rath
Raat champaa-kalee angooThee nath
Din hai toofaan-e-jumbish-o-raftaar
Raat meezaan-e-kaakul-o-rukhsaar
Aaftaab-o-sharaab hain bairee
Botalen din ko hain pachhal pairee
Kar na paamaal hurmat-e-auqaat
Raat ko din banaa na din ko raat
Pee magar sirf shaam ke hangaam
Aur wo bhee ba-qadr-e-yak-do jaam
Vahee insaan hai khurram-o-khursand
Jo hai miqdaar o waqt kaa paaband
Mere piine hee par na jaa miree jaan
Mujh se jiinaa bhee siikh hain qurbaan
Us ke piine men rang aataa hai
Jis ko jiine kaa Dhang aataa hai
Ye nasaa.eh bahut hain besh-bahaa
Jald so jald jaag jald nahaa
Baagh men jaa tulooa se pahle
Taa nigaar-e-sahar se dil bahle
Sarv-o-shamshaad ko gale se lagaa
Har chaman-zaad ko gale se lagaa
Munh andhere fazaa-e-gulshan dekh
Saahil o sabza-zaar o sausan dekh
Gaah aavaara abr-paare dekh
In kee raftaar men sitaare dekh
Jaise kohre men taab-e-roo-e-nikoo
Jaise jangal men raat ko jugnoo
Gul kaa munh chuum ik tarannum se
Nahr ko gudgudaa tabassum se
Jism ko kar araq se nam-aalood
Taaki shabnam paDhe lahak ke darood
Phenk sanjeedgee kaa sar se baar
Naach uchhal dandanaa chhalaangen maar
Dekh aab-e-ravaan kaa aa.eena
DauD saahil pe taan kar siina
Mast chiDiyon kaa chahchahaanaa sun
Mauj-e-nau-mashq kaa taraana sun
Bostaan men sabaa kaa chalnaa dekh
Sabza o sarv kaa machalnaa dekh
Shabnam-aalood kar sukhan kaa libaas
Chakh dhundalke men boo-e-gul kee miThaas
Shaa.iree ko khilaa havaa-e-sahar
Is kaa nafqa hai teree gardan par
Raqs kee lahr men ho gum lab-e-nahr
Yuun adaa kar uroos-e-sher kaa mahr
Jazb kar bostaan ke naqsh-o-nigaar
Zehan men khol misr kaa baazaar
Narm jhonkon kaa aab-e-haivaan pee
Boo-e-gul rang-e-shabnamistaan pee
Gun-gunaa kar nazar uThaa kar pee
Sub.h kaa shiir daghdagha kar pee
Taaki mujre ko aa.en kul barkaat
Daulat jism o ilm o aql o hayaat
Ye na ta.ana na ye ulahnaa hai
Ek nukta bas aur kahnaa hai
Ghaibat-e-noor ho ki kasrat-e-noor
Zulmat-e-taam ho ki sho.ala-e-toor
Ek saa hai vabaal donon kaa
Teergee hai ma.aal donon kaa
Darkhur-e-saahab-e-ma.aal nahin
Har wo shai jis men e'tidaal nahin
Shaadmaanee se pee nahin saktaa
Jis ko haukaa ho jee nahin saktaa
Ai pisar ai baraadar ai hamraaz
Ban na is tarah duur kee awaaz
Koee beemaar tan nahin saktaa
Khaadim-e-khalq ban nahin saktaa
Khidmat-e-khalq farz hai tujh par
Daur-e-maazee kaa qarz hai tujh par
Asr-e-haazir ke shaa.ir-e-khuddaar
Qarz-daaree kee maut se hoshyaar
Zehn-e-insaaniyat ubhaar ke jaa
Zindagaanee kaa qarz utaar ke jaa
Tujh pe hindostaan naaz kare
Umr teree khuda daraaz kare
Ai majaz ai tarana-bar majaz
Zinda paighambar-e-bahaar majaz
Ai baru-e-saman-wishan gul-posh
Ai ba ku-e-mughan tamam KHarosh
Ai parastar-e-mah-ruKHan-e-jahan
Ai kaman-dar-e-shairan-e-jawan
Tujh se taban jabin-e-mustaqbil
Ai mere sina-e-umid ke dil
Ai majaz ai mubassir-e-KHad-o-KHal
Ai shuur-e-jamal o sham-e-KHayal
Ai surayya-fareb o zohra-nawaz
Shair-e-mast o rind-e-shahid-baz
Naqid-e-ishwa-e-shabab hai tu
Subh-e-farda ka aaftab hai tu
Tujh ko aaya hun aaj samjhane
Haif hai tu agar bura mane
KHud ko gharq-e-sharab-e-nab na kar
Dekh apne ko yun KHarab na kar
Shairi ko teri zarurat hai
Daur-e-farda ki tu amanat hai
Sirf teri bhalai ko ai jaan
Ban ke aaya hun naseh-e-nadan
Ek Thahraw ek takan hai tu
Dekh kis darja dhan-pan hai tu
Nang hai mahz ustuKHan hona
SaKHt ihanat hai na-tawan hona
UstuKHwani badan duKHani post
Ek sangin jurm hai ai dost
Sharm ki baat hai wajud-e-saqim
Na-tawani hai ek gunah-e-azim
Jism aur ilm turfa taqat hai
Yahi insan ki nubuwwat hai
Jo zaif-o-alil hota hai
Ishq mein bhi zalil hota hai
Har hunar ko jo ek daulat hai
Ilm aur jism ki zarurat hai
Kasrat-e-baada rang lati hai
Aadmi ko lahu rulati hai
KHush-dilon ko rula ke hansti hai
Sham-e-aKHtar bujha ke hansti hai
Aur jab aafat jigar pe lati hai
Rind ko maulwi banati hai
Mai se hota hai maqsad-e-dil faut
Mai hai buniyaad-e-maulwiyyat-o-maut
Kan mein sun ye baat hai nashtar
Maulwiyyat hai maut se bad-tar
Is se hota hai kar-e-umr tamam
Is se hota hai aql ko sarsam
Is mein insan ki jaan jati hai
Is mein shair ki aan jati hai
Ye zamin aasman kya shai hai
Aan jae to jaan kya shai hai
Gauhar-e-shah-war chun pyare
Mujh se ek gur ki baat sun pyare
Gham to banta hai chaar din mein nashat
Shadmani se rah bahut mohtat
Gham ke mare to ji rahe hain hazar
Nahin bachte hain aish ke bimar
Aan mein dil ke par hoti hai
PankhuDi mein wo dhaar hoti hai
Ju-e-ishrat mein gham ke dhaare hain
YaKH-o-shabnam mein bhi sharare hain
Han sambhal kar latafaton ko barat
TuT jae kahin na koi parat
Dekh kar shisha-e-nashat uTha
Ye waraq hai waraq hai sone ka
Kaghaz-e-baad ye nagina hai
Balki ai dost aabgina hai
Saghar-e-shabnam-e-KHush-ab hai ye
Aabgina nahin habab hai ye
Rok le sans jo qarib aae
Thes us ko kahin na lag jae
Tegh-e-masti ko ehtiyat se chhu
Warna Tapkega ungliyon se lahu
Mastiyon mein hai tab-e-jalwa-e-mah
Aur siyah mastiyan KHuda ki panah
KHub hai ek had pe qaem nasha
Halka phulka subuk mulaem nasha
Han adab se uTha adab se jam
Taki aab-e-halal ho na haram
Jam par jam jo chaDhate hain
UnT ki tarah bilbilate hain
Zindagi ki hawas mein marte hain
Mai ko ruswa-e-dahr karte hain
Yaad hai jab 'jigar' chaDhate the
Kya alif ho ke hin-hinate the
Meri gardan mein bhar ke chand aahen
Panw se Dalte the wo banhen
Aql ki maut ilm ki pasti
Al-aman lanat-e-siyah masti
Uf ghaTa-Top nashshe ka tufan
Bhut ifrit dew jin shaitan
Lat ghunsa chhaDi chhuri chaqu
Lib-libahaT luab kaf badbu
Tanz aawaza barhami ifsad
Tan tashnia mazhaka irad
Shor hu-haq abe-tabe hai hai
Aukhiyan galiyan dhamake qai
Mas-masahaT ghashi tapish chakkar
Soz sailab sansani sarsar
Chal-chaKHe chiKH chunan-chunin chinghaD
ChaKH-chaKHe chaun chaun chil-chilhaD
Lappa-Dukki latam lam laDai
Haul haijaan hank hatha-pai
Khalbali kaon kaon khaT-manDal
Haunk hangama hamhama halchal
Uljhan aawargi udham aiThan
Bhaunk bhaun bhaun bhinan bhinan bhan-bhan
Dhaul-dhappa dhakaD-pakaD dhutkar
Tahlka tu taDaq tuf takrar
Bu bhabhak bhay bikas barar bhaunchaal
Dabdabe dandanahaTen dhammal
Gah narmi o lutf o mehr o salam
Gah talKHi o turshi o dushnam
Aql ki maut ilm ki pasti
Al-aman lanat-e-siyah masti
Sirf nashshe ki bhigne de masen
In ko banne na de kabhi monchhen
Al-aman KHaufnak kala nasha
Oh rish-o-burut wala nasha
Azhdar-e-marg o dew-e-KHun-KHwari
Al-aman nashsha-e-jaTadhaari
Nashshe ka jhuT-puTa hai nur-e-hayat
JhuTpuTe ko bana na kali raat
Nashshe ki tez raushni bhi ghalat
Chaudhwin ki si chandni bhi ghalat
Zehn-e-insan ko baKHshta hai jamal
Nashsha ho jab ye qadr-e-nur-e-hilal
Ghurfa-e-aql bheD to akasr
Par use kach-kacha ke band na kar
Raat ko lutf-e-jam hai pyare
Din ka pina haram hai pyare
Din hai ifrit-e-az ki khankar
Raat pazeb nazuki jhankar
Din hai KHashak KHak dhul dhuan
Raat aaina anjuman afshan
Din musallah dawan kamar basta
Raat taq-o-rawaq-o-gul-dasta
Din hai faulad-e-sang tegh-e-alam
Raat kam-KHwab pankhuDi shabnam
Din hai shewan duhaiyan dukhDe
Raat mast ankhDiyan jawan mukhDe
Din kaDi dhup ki bad-ahangi
Raat pichhle pahar ki sarangi
Din bahadur ka ban bir ki rath
Raat champa-kali anguThi nath
Din hai tufan-e-jumbish-o-raftar
Raat mizan-e-kakul-o-ruKHsar
Aaftab-o-sharab hain bairi
Botalen din ko hain pachhal pairi
Kar na pamal hurmat-e-auqat
Raat ko din bana na din ko raat
Pi magar sirf sham ke hangam
Aur wo bhi ba-qadr-e-yak-do jam
Wahi insan hai KHurram-o-KHursand
Jo hai miqdar o waqt ka paband
Mere pine hi par na ja meri jaan
Mujh se jina bhi sikh hain qurban
Us ke pine mein rang aata hai
Jis ko jine ka Dhang aata hai
Ye nasaeh bahut hain besh-baha
Jald so jald jag jald naha
Bagh mein ja tulua se pahle
Ta nigar-e-sahar se dil bahle
Sarw-o-shamshad ko gale se laga
Har chaman-zad ko gale se laga
Munh andhere faza-e-gulshan dekh
Sahil o sabza-zar o sausan dekh
Gah aawara abr-pare dekh
In ki raftar mein sitare dekh
Jaise kohre mein tab-e-ru-e-niku
Jaise jangal mein raat ko jugnu
Gul ka munh chum ek tarannum se
Nahr ko gudguda tabassum se
Jism ko kar araq se nam-alud
Taki shabnam paDhe lahak ke darud
Phenk sanjidgi ka sar se bar
Nach uchhal dandana chhalangen mar
Dekh aab-e-rawan ka aaina
DauD sahil pe tan kar sina
Mast chiDiyon ka chahchahana sun
Mauj-e-nau-mashq ka tarana sun
Bostan mein saba ka chalna dekh
Sabza o sarw ka machalna dekh
Shabnam-alud kar suKHan ka libas
Chakh dhundalke mein bu-e-gul ki miThas
Shairi ko khila hawa-e-sahar
Is ka nafqa hai teri gardan par
Raqs ki lahr mein ho gum lab-e-nahr
Yun ada kar urus-e-sher ka mahr
Jazb kar bostan ke naqsh-o-nigar
Zehan mein khol misr ka bazar
Narm jhonkon ka aab-e-haiwan pi
Bu-e-gul rang-e-shabnamistan pi
Gun-guna kar nazar uTha kar pi
Subh ka shir daghdagha kar pi
Taki mujre ko aaen kul barkat
Daulat jism o ilm o aql o hayat
Ye na tana na ye ulahna hai
Ek nukta bas aur kahna hai
Ghaibat-e-nur ho ki kasrat-e-nur
Zulmat-e-tam ho ki shoala-e-tur
Ek sa hai wabaal donon ka
Tirgi hai maal donon ka
DarKHur-e-sahab-e-maal nahin
Har wo shai jis mein e'tidal nahin
Shadmani se pi nahin sakta
Jis ko hauka ho ji nahin sakta
Ai pisar ai baradar ai hamraaz
Ban na is tarah dur ki aawaz
Koi bimar tan nahin sakta
KHadim-e-KHalq ban nahin sakta
KHidmat-e-KHalq farz hai tujh par
Daur-e-mazi ka qarz hai tujh par
Asr-e-hazir ke shair-e-KHuddar
Qarz-dari ki maut se hoshyar
Zehn-e-insaniyat ubhaar ke ja
Zindagani ka qarz utar ke ja
Tujh pe hindostan naz kare
Umr teri KHuda daraaz kare