programme ai shakhs agar josh ko to dhuundhnaa chaahe
— Josh Malihabadi
Ai shakhs agar 'josh' ko to DhoonDhnaa chaahe
Vo pichhle pahar halqa-e-irfaan men milegaa
Aur sub.h ko wo naazir-e-nazzaara-e-qudrat
Taraf-e-chaman-o-sahn-e-bayaabaan men milegaa
Aur din ko wo sar-gashta-e-asraar-o-ma.aanee
Shahr-e-hunar-o-koo-e-bayaabaan men milegaa
Aur shaam ko wo mard-e-khuda rind-e-kharaabaat
Rahmat-kada-e-baada-faroshaan men milegaa
Aur raat ko wo khalvatee-e-kaakul-o-rukhsaar
Bazm-e-tarab-o-koocha-e-khoobaan men milegaa
Aur hogaa koi jabr to wo banda-e-majboor
Murde kee tarah kalba-e-ahzaan men milegaa
Ai shaKHs agar 'josh' ko to DhunDhna chahe
Wo pichhle pahar halqa-e-irfan mein milega
Aur subh ko wo nazir-e-nazzara-e-qudrat
Taraf-e-chaman-o-sahn-e-bayaban mein milega
Aur din ko wo sar-gashta-e-asrar-o-maani
Shahr-e-hunar-o-ku-e-bayaban mein milega
Aur sham ko wo mard-e-KHuda rind-e-KHarabaat
Rahmat-kada-e-baada-faroshan mein milega
Aur raat ko wo KHalwati-e-kakul-o-ruKHsar
Bazm-e-tarab-o-kucha-e-KHuban mein milega
Aur hoga koi jabr to wo banda-e-majbur
Murde ki tarah kalba-e-ahzan mein milega