saarii Dunya hai ek parda e raaz

Josh Malihabadi

Saaree Dunya hai ek parda-e-raaz Uf re tere hijaab ke andaaz Maut ko ahl-e-dil samajhte hain Zindagaani-e-ishq kaa aaghaaz Mar ke paayaa shaheed kaa rutba Meree is zindagee kee umr daraaz Koee aayaa tiree jhalak dekhee Koee bolaa sunee tiree awaaz Ham se kya poochhte ho ham kya hain Ik bayaabaan men gum-shuda awaaz Tere anvaar se labaalab hai Dil kaa sab se amiiq gosha-e-raaz Aa rahee hai sadaa-e-haatif-e-ghaib 'josh' hamta-e-haafiz-e-sheeraaz