sayyaad daam e zulf se mujh ko rihaa kare
— Josh Malihabadi
Sayyaad daam-e-zulf se mujh ko rihaa kare
Wo din tamaam umr na aa.e khuda kare
Le de ke rah gaya hai yahee ek aasraa
Aisa kabhi na ho ki wo tark-e-wafa kare
Mujh be-navaa ke naaz uThaa.e wo naazneen
Sultaan aur kaavish-e-qurb-e-gadaa kare
Daamaan-e-boo-e-kaakul-e-shab rang chhoD de
Yaa rab kabhi ye zulm na baad-e-sabaa kare
Jis ke maraz pe sehat-e-aalam nisaar ho
Kis tarah wo mareez duaa-e-shifaa kare
But jis pe multafit ho ba-hadd-e-supurdagee
Zindeeq hai agar wo khuda se duaa kare
Umr-e-daraaz o pukhtagi-e-fikr-e-nukta-sanj
Kahtee hai khaam kaam mujhe haan kahaa kare
Us roo-e-dil-nasheen pe nigaahen jamee raheen
Fariyaad kar rahee hai baseerat ki kya kare
Ab daam-e-husn-o-ishq se nikloon na taa-ba marg
Ghar jal raha hai aql-e-rasaa kaa jalaa kare
Hikmat namak-haraam hoon be-shak tiraa magar
Jis par paDe ye vaqt wo bechaaraa kya kare
Yaa rab hisaar-e-najd se ab uTh sake na 'josh'
Yoonaan de raha hai duhaa.ee diyaa kare