soz e gam de ke mujhe us ne ye irshaad kiyaa

Josh Malihabadi

Soz-e-gham de ke mujhe us ne ye irshaad kiyaa Jaa tujhe kashmakash-e-dahr se aazaad kiyaa Wo karen bhee to kin alfaaz men teraa shikva Jin ko teree nigah-e-lutf ne barbaad kiyaa Dil kee choTon ne kabhi chain se rehne na diyaa Jab chalee sard havaa main ne tujhe yaad kiyaa Ai main sau jaan se is tarz-e-takallum ke nisaar Phir to farmaa.iye kya aap ne irshaad kiyaa Is kaa ronaa nahin kyuun tum ne kiyaa dil barbaad Is kaa gham hai ki bahut der men barbaad kiyaa Itnaa maanoos hoon fitrat se kalee jab chaTkee Jhuk ke main ne ye kahaa mujh se Kuch irshaad kiyaa Meree har saans hai is baat kee shaahid ai maut Main ne har lutf ke mauqe pe tujhe yaad kiyaa Mujh ko to hosh nahin tum ko khabar ho shaayad Log kahte hain ki tum ne mujhe barbaad kiyaa Kuch nahin is ke sivaa 'josh' hareefon kaa kalaam Vasl ne shaad kiyaa hijr ne naashaad kiyaa