subh baaliin pe ye kahtaa huaa gam khvaar aayaa

Josh Malihabadi

Sub.h baaleen pe ye kahtaa huaa gham-khvaar aayaa UTh ki fariyaad-ras-e-aashiq-e-beemaar aayaa Bakht-e-khvaabeeda gaya zulmat-e-shab ke hamraah Sub.h kaa nuur liye daulat-e-bedaar aayaa Khair se baagh men phir ghuncha-e-gul-rang khilaa Shukr hai daur men phir saaghar-e-sarshaar aayaa Jhuum ai tishna-e-gul-baang nigaar-e-ishrat Ki lab-e-yaar liye chashma-e-guftaar aayaa Shukr-e-eezad ki wo sarkhail-e-maseehaa-nafsaan Zulf bar-dosh pai-e-pursish-e-beemaar aayaa Rukhsat ai shikva-e-qismat ki sar-e-bazm-e-nashaat Naasikh-e-mas.ala-e-andak-o-bisyaar aayaa Lillaahil-hamd ki gulzaar men hangaam-e-subooh Hukm-e-aazaadi-e-murghaan-e-giraftaar aayaa Ghuncha-e-basta chaTak jaag uThee mauj-e-sabaa Shola-e-husn bhaDak misr kaa baazaar aayaa Khush ho ai ishq ki phir husn huaa maa.il-e-naaz Muzhda ai jins-e-mohabbat ki khareedaar aayaa Ai nazar shukr bajaa laa ki khulee zulf-e-daraaz Ai sadaf aankh uThaa abr-e-guhar-baar aayaa Baadbaan naaz se lahraa ke chalee baad-e-muraad Kaarvaan iid manaa qaafila-saalaar aayaa Khush ho ai gosh ki jibreel-e-tarannum chahkaa Muzhda ai chashm ki paighambar-e-anvaar aayaa Khush ho ai peer-e-mughaan 'josh' huaa naghma-farosh Muzhda ai dukhtar-e-raz rind-e-qadah-khvaar aayaa