subuu uthaa ki fazaa siim e khaam hai saaqii
— Josh Malihabadi
Suboo uThaa ki fazaa seem-e-khaam hai saaqee
Faraaz-e-koh pe maah-e-tamaam hai saaqee
Chune hue hain piyaale jhukee huee botal
Nayaa qu.uud niraalaa qayaam hai saaqee
Ba-naaz-e-mughbachagaan o ba-faiz-e-naara-e-hoo
Humaa-e-arz-o-samaa zer-e-daam hai saaqee
Fazaa pe nahr-e-pur-afshaan-e-taab huur o tuhoor
Ghinaa men shahr-e-qasoor-o-khayaam hai saaqee
Ye kaun shaahid-e-mastee-farosh o naghma-navaaz
Nafas ke taar pe garm-e-khiraam hai saaqee
Na ism o jism na harf o nafas na saaya o naql
Ye kya tilism ye kaisaa maqaam hai saaqee
Ruke na daur ki ab tak ba-zer-e-charkh-e-kabood
Riyaa halaal hai sahbaa haraam hai saaqee
Ba-naam-e-aadam-o-havvaa pilaa ki garm-e-surood
Naseem-e-roza-e-daarus-salaam hai saaqee
Suboo-e-qila-shikan kee sipar inaayat kar
Ki tegh-e-daur-e-zamaan be-niyaam hai saaqee
Agar ghizaa-e-khayaal-o-nazar se hai mahroom
Hayaat-e-zehn kaa maah-e-siyaam hai saaqee
Tamaam daulat-e-duniya-o-deen pe bhaaree hai
Wo dil jo basta-e-hubb-e-anaam hai saaqee
Ajab naheen ki tujhe bhee pasand aa.e ye qaul
Jhuke na dil to ibaadat haraam hai saaqee
Sifaat o zaat ke aivaan-e-rooh-parvar tak
Suboo se faasala-e-neem-gaam hai saaqee