udhar mazhab idhar insaan ki fitrat kaa taqaazaa hai
— Josh Malihabadi
Udhar maz.hab idhar insaan kee fitrat kaa taqaazaa hai
Wo daamaan-e-mah-e-kan.aan hai ye dast-e-zulekhaa hai
Idhar teree mashiyyat hai udhar hikmat rasoolon kee
Ilaahee aadmee ke baab men kya hukm hota hai
Ye maanaa donon hee dhoke hain rindee ho ki darveshee
Magar ye dekhnaa hai kaun saa rangeen dhokaa hai
Khilaunaa to nihaayat shokh o rangeen hai tamaddun kaa
Muaarrif main bhee hoon lekin khilaunaa phir khilaunaa hai
Mire aage to ab Kuch din se har aansoo mohabbat kaa
Kanaar-e-aab-e-ruknaabaad o gulgasht-e-musallaa hai
Mujhe maaloom hai jo Kuch tamannaa hai rasoolon kee
Magar kya dar-haqeeqat wo khuda kee bhee tamannaa hai
Mashiyyat khelnaa zebaa nahin meree baseerat se
UThaa le in khilaunon ko ye Dunya hai wo uqbaa hai