uthii wo ghataa rang saamaaniyaan kar
— Josh Malihabadi
UThee wo ghaTaa rang-saamaaniyaan kar
Guhar-paashiyaan kar zar-afshaaniyaan kar
Suraahee jhukaa aur dhoomen machaa de
Gulaabee uThaa aur gul-afshaaniyaan kar
MiTaa daagh-e-hosh aur mad.hosh ban jaa
UThaa jaam-e-zar aur sultaaniyaan kar
Nigaahon se barsaa de abr-e-javaanee
Mai-e-laala-goon se gulistaaniyaan kar
Samundar pe chal aur ilyaas ban jaa
Havaaon pe uD aur sulemaaniyaan kar
Sukoon paanv choome wo halchal machaa de
Khirad sar jhukaa de wo naadaaniyaan kar
Alam khol kar 'josh' bad-mastiyon ke
Jahaan-daariyaan kar jahaan-baaniyaan kar