wo sabr de ki na de jis ne be qaraar kiyaa
— Josh Malihabadi
Wo sabr de ki na de jis ne be-qaraar kiyaa
Bas ab tumheen pe chalo ham ne inhisaar kiyaa
Tumhaaraa zikr nahin hai tumhaaraa naam nahin
Kiyaa naseeb kaa shikva hazaar baar kiyaa
Suboot hai ye mohabbat kee saada-lauhee kaa
Jab us ne va.ada kiyaa ham ne aitbaar kiyaa
Ma.aal ham ne jo dekhaa sukoon o jumbish kaa
To Kuch samajh ke taDapnaa hee ikhtiyaar kiyaa
Mire khuda ne mire sab gunaah bakhsh diye
Kisee kaa raat ko yuun main ne intizaar kiyaa