ye nasiib e shaairii hai zahe shaan e kibriyaaii

Josh Malihabadi

Ye naseeb-e-shaa.iree hai zahe shaan-e-kibriyaa.ee Ki mile na zindagee bhar mujhe daad-e-khush-navaa.ee Ba-khuda azeem-tar hai shohdaa ke Khoon se bhee Mire seena-e-qalam men jo bharee hai raushnaa.ee Ye ajiib maajraa hai ki khadyau-e-haft-qulzoom Taraf-e-saraab dauDe pai-e-qismat-aazmaa.ee Falak aur use jhukaa.e sar-e-manzil-e-safeehaan Malak aa.en jis ke dar par ba-havaa-e-jab.ha-saa.ee Chaman-e-shu.oor-e-nau ko jo lahoo se apne seenche Kabhee us ko sukh na bakhshe koee panja-e-hinaa.ee Hama saaz hoon ba-zaahir hama soz hoon ba-baatin Miree zindagee bukaa.ee miree shaa.iree ghinaa.ee Mire taar o paud larzaan ba-havaa-e-naa-muraadee Mire khadd-o-khaal darakhshaan ba-tabassum-e-riyaa.ee Miraa dil hai girya maskan mire lab taraana manzil Miree nai shikast-e-khaatir miree lai hai momyaa.ee Miraa jaam-e-shab sulemaan hama taaj-e-khusravaana Miree chashm-e-roz paimaa hama kaasa-e-gadaa.ee Miree baargaah-e-hastee hama ijz bandagaana Miree baargaah-e-mastee hama satvat-e-khuda.ee Dar-e-khalq par jhukaa hai na jhukegaa taa qayaamat Sar-e-'josh' men bharaa hai wo ghuroor-e-kibriyaa.ee