yuun dhal gaya hai dard men darmaan kabhi kabhi

Josh Malihabadi

Yuun Dhal gaya hai dard men darmaan kabhi kabhi Naghme bane hain girya-e-pinhaan kabhi kabhi Haunkee hain baad-e-sub.h kee rau men bhee aandhiyaan Ublaa hai saahilon se bhee toofaan kabhi kabhi BaDhtaa chalaa gaya hoon unhee kee taraf Kuch aur Yuun bhee huaa hoon un se gurezaan kabhi kabhi Aanchon men gungunaate hain gulzaar gaah gaah Sho.alon se paT gaya hai gulistaan kabhi kabhi Lai se nikal paDee hai kabhi hichkiyon kee fauj Aahen banee hain raag kaa unvaan kabhi kabhi Daamaan-e-gul-rukhaan kee uDaa dee hain dhajjiyaan PhaaDaa hai ham ne yuun bhee garebaan kabhi kabhi Kaliyaan jhulas ga.ee hain dahakne lage hain phuul Yuun bhee chalee hai baad-e-bahaaraan kabhi kabhi Us vaqt bhee ki khaatir-e-majmooa thee naseeb Kam-bakht dil huaa hai pareshaan kabhi kabhi