zaalim ye khamoshii bejaa hai iqraar nahin inkaar to ho
— Josh Malihabadi
Zaalim ye khamoshee bejaa hai iqraar nahin inkaar to ho
Ik aah to nikle tod ke dil naghme na sahee jhankaar to ho
Har saans men sad.haa naghme hain har zarre men laakhon jalve hain
Jaan mahv-e-rumooz-e-saaz to ho dil jalva-gah-e-anvaar to ho
Shaakhon kee lachak har fasl men hai saaqee kee jhalak har rang men hai
Saaghar kee khanak har zarf men hai makhmoor to ho sarshaar to ho
Kyoonkar na shab-e-mah raushan ho kyuun sub.h na daaman chaak kare
Kuch vasf-e-rumooz-e-husn to ho kuch sharh-e-jamaal-e-yaar to ho
Siine men khataa.en muztar hain in.aam kaa wo iqraar karen
Mansoor hazaaron ab bhee hain ai 'josh' sile men daar to ho