zaiifa
— Josh Malihabadi
Ik za.eefa raaste men so rahi hai khaak par
Murdanee chhaa.ee huee hai chehra-e-ghamnaak par
Aur kis mausam men jab taa.oon hai phailaa huaa
Zarra zarra hai vabaa ke khauf se simTaa huaa
Raat aadhee aa chukee hai baam-o-dar khaamosh hain
Ahl-e-daulat laila-e-ishrat se ham-aaghosh hain
Is qayaamat kee hai taaree zulmat-e-haul-aafreen
Shab ke dil men sub.h kaa goyaa tasavvur tak nahin
Peechhe peechhe aa raha hai kaun ye kya baat hai
Baj rahe hain kaan uff kaisee bhayaanak raat hai
Halqa-e-zulmat men hai raahon kee sahmee raushnee
Yaa chamaktee hain ghanee jhaaDee se aankhen sher kee
Larza-bar-andaam hai sehn-e-zameen kaa arz-o-tool
Ho raha hai khaak par naapaak roohon kaa nuzool
Aa rahi hain aasmaan se ye sadaa.en dam-ba-dam
Dekh asbaab-e-halaakat par na paD jaa.e qadam
Baam-o-dar par maut kaa parcham hai lahraayaa huaa
Aa rahi hai har qadam par boo-e-anfaas-e-vabaa
RaungTe saare khaDe hain saans lenaa hai vabaal
Al-amaan shor-e-sagaan-e-raah o ghoghaa-e-shaghaal
Uf laraztee khaufnaak awaaz chaukeedaar kee
Nabz chhooTee jaa rahi hai gumbad-e-davvaar kee
Chupke chupke saans lene se ghuTaa jaataa hai dam
Rakh raha hoon bolte zarron pe ruk ruk kar qadam
Ibrat o dahshat kaa khanjar hai dil-e-ghamnaak par
Haa.e ye be-dam paDaa hai kaun ThanDee khaak par
Aah ai be-kas za.eefa gham kee taDpaa.ee huee
Ai zamaane kee jhinjhoDee zar kee Thukraa.ee huee
Mere dil ke aa.ine ko kar raha hai chuur chuur
Tere sar par rahguzar kee sham.a kaa halkaa saa nuur
Ye tire sar kee safedee aur ye gard-e-malaal
Men to kya sharmaa raha hai khud khuda-e-zul-jalaal
Bhuuk ke lashkar kaa hai rukh par tire gard-o-ghubaar
Ahd-e-razzaaqee ke maathe par araq hai aashkaar
Tere bachche tere gardoon ke sitaare kya hue
Ai za.eefa teree piiree ke sahaare kya hue
Aah ai dukhiyaa ye kaisee paa.emaalee ho ga.ee
Thokaren khaane ko teree god khaalee ho ga.ee
So raha hai teraa vaaris kis taraf pahne kafan
Dafn hai kis des men teraa uroosee baankpan
Bazm-e-ishrat men dulhan kis ne banaayaa tha tujhe
Byaah kar kaun apne ghar men aah laayaa tha tujhe
Khuun rukh par dauDtaa hogaa tiree awaaz se
Tujh ko paalaa hogaa teree maan ne kis kis naaz se
Daaltee hogee tujhe nahlaa-dhulaa kar sar men tel
Baap kaa dil kheenchtaa hogaa tiree guDiyon kaa khel
Paas kee taaseer kyuun chehre pe duunee ho ga.ee
Maa.ikaa veeraan huaa sasuraal suunee ho ga.ee
Chaahne vaale tire sab turbaton men so ga.e
Kheltee thee jin ghane baaghon men wo kya ho ga.e
Uf-ree maayoosee kisee kaa aasraa rakhtee nahin
Shubah hota hai ki too shaayad khuda rakhtee nahin
Too kahaan kee rehne vaalee hai tiraa kya naam hai
Bol too kis dil-nasheen aaghaaz kaa anjaam hai
Hind men insaaniyat kaa daur hee baaqee nahin
Dard ho kis tarah koi mard hee baaqee nahin
Mard hee hote to karte bekason kaa ehtiraam
Mard hee hote to rah sakte the yuun ban kar ghulaam
Khidmat-e-aghyaar se fursat koi paataa nahin
Sach hai apnon par ghulaamon ko taras aataa nahin
Ai za.eefa nang hai too mulk-o-millat ke liye
Too hai ik dhabbaa jabeen-e-ahl-e-daulat ke liye
Ik khulee zillat hai adyaan-o-milal ke vaaste
Tauq hai la.anat kaa too ahl-e-duval ke vaaste
To va.eed-e-qahr hai arbaab-e-ishrat ke liye
Bars kaa ik daagh hai roo-e-hukoomat ke liye
Mujh ko hairat hai ki tujh ko dekh kar zaar-o-nizaar
GaD nahin jaate hayaa se haakimaan-e-zee-vaqaar
Dekh kar teraa Dhalaa mankaa nahin hota hai chuur
Gardanon ke kham ko sakhtee bakhshne vaalaa ghuroor
PaD nahin jaate ilaahee seena-e-daulat men daagh
Bujh nahin jaate shabistaan-e-imaarat ke charaagh
Apnee taab-e-zar se ai sarmaaya-daaro! hoshiyaar
Apne taajon kee chamak se taaj-daaro hoshiyaar
Neelam-o-yaaqoot se shole bhaDak uThne ko hain
Surkh deenaaron men angaare dahak uThne ko hain
Farsh-e-gul vaalo zameen par log mahv-e-khvaab hain
Khirmanon ke paasbaanon bijliyaan betaab hain!!
Ek zaifa raste mein so rahi hai KHak par
Murdani chhai hui hai chehra-e-ghamnak par
Aur kis mausam mein jab taun hai phaila hua
Zarra zarra hai waba ke KHauf se simTa hua
Raat aadhi aa chuki hai baam-o-dar KHamosh hain
Ahl-e-daulat laila-e-ishrat se ham-aghosh hain
Is qayamat ki hai tari zulmat-e-haul-afrin
Shab ke dil mein subh ka goya tasawwur tak nahin
Pichhe pichhe aa raha hai kaun ye kya baat hai
Baj rahe hain kan uff kaisi bhayanak raat hai
Halqa-e-zulmat mein hai rahon ki sahmi raushni
Ya chamakti hain ghani jhaDi se aankhen sher ki
Larza-bar-andam hai sehn-e-zamin ka arz-o-tul
Ho raha hai KHak par napak ruhon ka nuzul
Aa rahi hain aasman se ye sadaen dam-ba-dam
Dekh asbab-e-halakat par na paD jae qadam
Baam-o-dar par maut ka parcham hai lahraya hua
Aa rahi hai har qadam par bu-e-anfas-e-waba
RaungTe sare khaDe hain sans lena hai wabaal
Al-aman shor-e-sagan-e-rah o ghogha-e-shaghaal
Uf larazti KHaufnak aawaz chaukidar ki
Nabz chhuTi ja rahi hai gumbad-e-dawwar ki
Chupke chupke sans lene se ghuTa jata hai dam
Rakh raha hun bolte zarron pe ruk ruk kar qadam
Ibrat o dahshat ka KHanjar hai dil-e-ghamnak par
Hae ye be-dam paDa hai kaun ThanDi KHak par
Aah ai be-kas zaifa gham ki taDpai hui
Ai zamane ki jhinjhoDi zar ki Thukrai hui
Mere dil ke aaine ko kar raha hai chur chur
Tere sar par rahguzar ki shama ka halka sa nur
Ye tere sar ki safedi aur ye gard-e-malal
Mein to kya sharma raha hai KHud KHuda-e-zul-jalal
Bhuk ke lashkar ka hai ruKH par tere gard-o-ghubar
Ahd-e-razzaqi ke mathe par araq hai aashkar
Tere bachche tere gardun ke sitare kya hue
Ai zaifa teri piri ke sahaare kya hue
Aah ai dukhiya ye kaisi paemali ho gai
Thokaren khane ko teri god KHali ho gai
So raha hai tera waris kis taraf pahne kafan
Dafn hai kis des mein tera urusi bankpan
Bazm-e-ishrat mein dulhan kis ne banaya tha tujhe
Byah kar kaun apne ghar mein aah laya tha tujhe
KHun ruKH par dauDta hoga teri aawaz se
Tujh ko pala hoga teri man ne kis kis naz se
Dalti hogi tujhe nahla-dhula kar sar mein tel
Bap ka dil khinchta hoga teri guDiyon ka khel
Pas ki tasir kyun chehre pe duni ho gai
Maika viran hua sasural suni ho gai
Chahne wale tere sab turbaton mein so gae
Khelti thi jin ghane baghon mein wo kya ho gae
Uf-ri mayusi kisi ka aasra rakhti nahin
Shubah hota hai ki tu shayad KHuda rakhti nahin
Tu kahan ki rehne wali hai tera kya nam hai
Bol tu kis dil-nashin aaghaz ka anjam hai
Hind mein insaniyat ka daur hi baqi nahin
Dard ho kis tarah koi mard hi baqi nahin
Mard hi hote to karte bekason ka ehtiram
Mard hi hote to rah sakte the yun ban kar ghulam
KHidmat-e-aghyar se fursat koi pata nahin
Sach hai apnon par ghulamon ko taras aata nahin
Ai zaifa nang hai tu mulk-o-millat ke liye
Tu hai ek dhabba jabin-e-ahl-e-daulat ke liye
Ek khuli zillat hai adyan-o-milal ke waste
Tauq hai lanat ka tu ahl-e-duwal ke waste
To waid-e-qahr hai arbab-e-ishrat ke liye
Bars ka ek dagh hai ru-e-hukumat ke liye
Mujh ko hairat hai ki tujh ko dekh kar zar-o-nizar
GaD nahin jate haya se hakiman-e-zi-waqar
Dekh kar tera Dhala manka nahin hota hai chur
Gardanon ke KHam ko saKHti baKHshne wala ghurur
PaD nahin jate ilahi sina-e-daulat mein dagh
Bujh nahin jate shabistan-e-imarat ke charagh
Apni tab-e-zar se ai sarmaya-daro! hoshiyar
Apne tajon ki chamak se taj-daro hoshiyar
Nilam-o-yaqut se shole bhaDak uThne ko hain
SurKH dinaron mein angare dahak uThne ko hain
Farsh-e-gul walo zamin par log mahw-e-KHwab hain
KHirmanon ke pasbanon bijliyan betab hain!!