aakhirii raat chaand tuutaa pighal gae taare

Kaifi Azmi

Chaand TuuTaa pighal ga.e taare Qatra qatra Tapak rahi hai raat Palken aankhon pe jhuktee aatee hain AnkhDiyon men khaTak rahi hai raat Aaj chheDo na koi afsaana Aaj kee raat ham ko sone do Khulte jaate hain simTe-sukDe jaal Ghulte jaate hain Khoon men baadal Apne gulnaar pankh phailaa.e Aa rahe hain isee taraf jangal Gul karo sham.a, rakh do paimaana Aaj kee raat ham ko sone do Shaam se pahle mar chukaa tha shahr Kaun darvaaza khaTkhaTaataa hai Aur oonchee karo ye deevaaren Shor aangan men aayaa jaataa hai Kah do hai aaj band mai-khaana Aaj kee raat ham ko sone do Jism hee jism hain, kafan hee kafan Baat sunte na sar jhukaate hain Amn kee khair, kotvaal kee khair Murde qabron se nikle aate hain Koee apna na koi begaana Aaj kee raat ham ko sone do Koee kahtaa tha, Thiik kahtaa tha Sar-kashee ban ga.ee hai sab kaa shi.aar Qatl par jin ko e'tiraaz na tha Dafn hone ko kyuun nahin tayyaar Hosh-mandee hai aaj so jaanaa Aaj kee raat ham ko sone do Chand TuTa pighal gae tare Qatra qatra Tapak rahi hai raat Palken aankhon pe jhukti aati hain AnkhDiyon mein khaTak rahi hai raat Aaj chheDo na koi afsana Aaj ki raat hum ko sone do Khulte jate hain simTe-sukDe jal Ghulte jate hain KHun mein baadal Apne gulnar pankh phailae Aa rahe hain isi taraf jangal Gul karo shama, rakh do paimana Aaj ki raat hum ko sone do Sham se pahle mar chuka tha shahr Kaun darwaza khaTkhaTata hai Aur unchi karo ye diwaren Shor aangan mein aaya jata hai Kah do hai aaj band mai-KHana Aaj ki raat hum ko sone do Jism hi jism hain, kafan hi kafan Baat sunte na sar jhukate hain Amn ki KHair, kotwal ki KHair Murde qabron se nikle aate hain Koi apna na koi begana Aaj ki raat hum ko sone do Koi kahta tha, Thik kahta tha Sar-kashi ban gai hai sab ka shiar Qatl par jin ko e'tiraaz na tha Dafn hone ko kyun nahin tayyar Hosh-mandi hai aaj so jaana Aaj ki raat hum ko sone do