andeshe
— Kaifi Azmi
Ruuh bechain hai ik dil kee aziyyat kya hai
Dil hee sho.ala hai to ye soz-e-mohabbat kya hai
Vo mujhe bhuul ga.ee is kee shikaayat kya hai
Ranj to ye hai ki ro ro ke bhulaayaa hogaa
Vo kahaan aur kahaan kaahish-e-gham, sozish-e-jaan
Us kee rangeen nazar aur nuqoosh-e-hirmaan
Us kaa ehsaas-e-lateef aur shikast-e-armaan
Ta.ana-zan ek zamaana nazar aayaa hogaa
Jhuk ga.ee hogee javaan-saal umangon kee jabeen
MiT ga.ee hogee lalak, Doob gaya hogaa yaqeen
Chhaa gaya hogaa dhuaan, ghuum ga.ee hogee zameen
Apne pahle hee gharaunde ko jo Dhaayaa hogaa
Dil ne aise bhee kuch afsaane sunaa.e honge
Ashk aankhon ne piye aur na bahaa.e honge
Band kamre men jo khat mere jalaa.e honge
Ek ik harf jabeen par ubhar aayaa hogaa
Us ne ghabraa ke nazar laakh bachaa.ee hogee
MiT ke ik naqsh ne sau shakl dikhaa.ee hogee
Mez se jab miree tasveer haTaa.ee hogee
Har taraf mujh ko taDaptaa huaa paayaa hogaa
Be-mahal chheD pe jazbaat ubal aa.e honge
Gham pashemaan-e-tabassum men Dhal aa.e honge
Naam par mere jab aansoo nikal aa.e honge
Sar na kaandhe se sahelee ke uThaayaa hogaa
Zulf zid kar ke kisee ne jo haTaa.ee hogee
RooThe jalvon pe khizaan aur bhee chhaa.ee hogee
Barq ashvon ne ka.ee din na giraa.ee hogee
Rang chehre pe ka.ee roz na aayaa hogaa
Ruh bechain hai ek dil ki aziyyat kya hai
Dil hi shoala hai to ye soz-e-mohabbat kya hai
Wo mujhe bhul gai is ki shikayat kya hai
Ranj to ye hai ki ro ro ke bhulaya hoga
Wo kahan aur kahan kahish-e-gham, sozish-e-jaan
Us ki rangin nazar aur nuqush-e-hirman
Us ka ehsas-e-latif aur shikast-e-arman
Tana-zan ek zamana nazar aaya hoga
Jhuk gai hogi jawan-sal umangon ki jabin
MiT gai hogi lalak, Dub gaya hoga yaqin
Chha gaya hoga dhuan, ghum gai hogi zamin
Apne pahle hi gharaunde ko jo Dhaya hoga
Dil ne aise bhi kuch afsane sunae honge
Ashk aankhon ne piye aur na bahae honge
Band kamre mein jo KHat mere jalae honge
Ek ek harf jabin par ubhar aaya hoga
Us ne ghabra ke nazar lakh bachai hogi
MiT ke ek naqsh ne sau shakl dikhai hogi
Mez se jab meri taswir haTai hogi
Har taraf mujh ko taDapta hua paya hoga
Be-mahal chheD pe jazbaat ubal aae honge
Gham pasheman-e-tabassum mein Dhal aae honge
Nam par mere jab aansu nikal aae honge
Sar na kandhe se saheli ke uThaya hoga
Zulf zid kar ke kisi ne jo haTai hogi
RuThe jalwon pe KHizan aur bhi chhai hogi
Barq ashwon ne kai din na girai hogi
Rang chehre pe kai roz na aaya hoga