beva ki khud kushii ye andherii raat ye saarii fazaa soii huii
— Kaifi Azmi
Ye andheree raat ye saaree fazaa soee huee
Pattee pattee manzar-e-khaamosh men khoee huee
Maujzan hai bahr-e-zulmat teergee kaa josh hai
Shaam hee se aaj qindeel-e-falak khaamosh hai
Chand taare hain bhee to be-noor pathraa.e hue
Jaise baasee haar men hon phuul kumhlaa.e hue
Khap gaya hai yuun ghaTaa men chaandnee kaa saaf rang
Jis tarah maayoosiyon men dab ke rah jaa.e umang
UmDee hai kaalee ghaTaa dunya Dubone ke liye
Yaa chalee hai baal khole raanD rone ke liye
Jitnee hai gunjaan bastee utnee hee veeraan hai
Har galee khaamosh hai har raasta sunsaan hai
Ik makaan se bhee makeen kee kuch khabar miltee nahin
Chilmanen uThtee nahin zanjeer-e-dar hiltee nahin
So rahe hain mast-o-be-khud ghar ke kul peer-o-javaan
Ho ga.ee hain band husn-o-ishq men sargoshiyaan
Haan magar ik samt ik goshe men koi nauhagar
Le rahi hai karvaTon par karvaTen dil thaam kar
Dil sambhaltaa hee nahin hai seena-e-sad-chaak men
Phuul saa chehra aTaa hai bevgee kee khaak men
UD chalee hai rang-e-rukh ban kar hayaat-e-musta.aar
Ho raha hai qalb-e-murda men javaanee kaa fishaar
Hasraten dam toDtee hain yaas kee aaghosh men
SaikDon shikve machalte hain lab-e-khaamosh men
Umr aamaada nahin murda-parastee ke liye
Baar hai ye zinda mayyat dosh-e-hastee ke liye
Chaahtee hai laakh qaaboo dil pe paatee hee nahin
Haa.e-re zaalim javaanee bas men aatee hee nahin
Thartharaa kar girtee hai jab suune bistar par nazar
Le ke ik karvaT paTak detee hai wo takiya pe sir
Jab khanak uThtee hain sotee laDkiyon kee chooDiyaan
Aah ban kar uThne lagtaa hai kaleja se dhuaan
Ho ga.ee beva kee khaatir niind bhee jaise haraam
Mukhtasar saa ahd-e-vaslat de gaya soz-e-davaam
Dopahar kee Chaaon daur-e-shaadmaanee ho gaya
Pyaas bhee bujhne na paa.ee khatm paanee ho gaya
Le rahi hai karvaTon par karvaTen baa-iztiraar
Aag men paara hai yaa bistar pe jism-e-be-qaraar
PaD ga.ee ik aah kar ke ro ke uTh baiThee kabhi
Ungliyon men le ke zulf-e-kham-ba-kham ainThee kabhi
Aa ke honTon par kabhi maayoos aahen tham ga.iin
Aur kabhi suunee kalaa.ee par nigaahen jam ga.iin
Itnee dunya men kaheen apnee jagah paatee nahin
Yaas is had kee ki shauhar kee bhee yaad aatee nahin
Aa rahe hain yaad paiham saas nandon ke sulook
PhaT raha hai gham se siina uTh rahi hai dil men huuk
Apnee maan bahnon kaa bhee aankhen churaanaa yaad hai
Aisee dunya men kisee kaa chhoD jaanaa yaad hai
Baaghbaan to qabr men hai kaun ab dekhe bahaar
Khud usee ko tiir us ke karne vaale hain shikaar
Jab nazar aataa nahin deta koi bekas kaa saath
Zahr kee sheeshee kee jaanib khud-ba-khud baDhtaa hai haath
Dil taDap kar kah raha hai jald is dunya ko chhoD
ChooDiyaan toDeen to phir zanjeer-e-hastee ko bhee tod
Dam agar niklaa to khoee zindagee mil jaa.egee
Ye nahin to khair tanhaa qabr hee mil jaa.egee
Vaan tujhe zillat kee nazron se na dekhegaa koi
Chaahe hansnaa chaahe ronaa phir na rokegaa koi
Vaan sab ahl-e-dard hain sab saahab-e-insaaf hain
Rahbar aage jaa chukaa raahen bhee teree saaf hain
Dil inheen baaton men uljhaa tha ki dam ghabraa gaya
Haath le kar zahr kee sheeshee labon tak aa gaya
Tilmilaatee aankh jhapkaatee jhijaktee haanptee
Pee ga.ee kul zahr aakhir thartharaatee kaanptee
Maut ne jhaTkaa diyaa kul uzv Dheele ho ga.e
Saans ukhDee, nabz Doobee, honT niile ho ga.e
Aankh jhapkee ashk Tapkaa hichkee aa.ee kho ga.ee
Maut kee aaghosh men ik aah bhar kar so ga.ee
Aur kar ik aah sulge hind kee rasmon kaa daam
Ai javaanaa-marg beva tujh pe 'kaifee' kaa salaam
Ye andheri raat ye sari faza soi hui
Patti patti manzar-e-KHamosh mein khoi hui
Maujzan hai bahr-e-zulmat tirgi ka josh hai
Sham hi se aaj qindil-e-falak KHamosh hai
Chand tare hain bhi to be-nur pathrae hue
Jaise basi haar mein hon phul kumhlae hue
Khap gaya hai yun ghaTa mein chandni ka saf rang
Jis tarah mayusiyon mein dab ke rah jae umang
UmDi hai kali ghaTa duniya Dubone ke liye
Ya chali hai baal khole ranD rone ke liye
Jitni hai gunjaan basti utni hi viran hai
Har gali KHamosh hai har rasta sunsan hai
Ek makan se bhi makin ki kuch KHabar milti nahin
Chilmanen uThti nahin zanjir-e-dar hilti nahin
So rahe hain mast-o-be-KHud ghar ke kul pir-o-jawan
Ho gai hain band husn-o-ishq mein sargoshiyan
Han magar ek samt ek goshe mein koi nauhagar
Le rahi hai karwaTon par karwaTen dil tham kar
Dil sambhalta hi nahin hai sina-e-sad-chaak mein
Phul sa chehra aTa hai bewgi ki KHak mein
UD chali hai rang-e-ruKH ban kar hayat-e-mustaar
Ho raha hai qalb-e-murda mein jawani ka fishaar
Hasraten dam toDti hain yas ki aaghosh mein
SaikDon shikwe machalte hain lab-e-KHamosh mein
Umr aamada nahin murda-parasti ke liye
Bar hai ye zinda mayyat dosh-e-hasti ke liye
Chahti hai lakh qabu dil pe pati hi nahin
Hae-re zalim jawani bas mein aati hi nahin
Tharthara kar girti hai jab sune bistar par nazar
Le ke ek karwaT paTak deti hai wo takiya pe sir
Jab khanak uThti hain soti laDkiyon ki chuDiyan
Aah ban kar uThne lagta hai kaleja se dhuan
Ho gai bewa ki KHatir nind bhi jaise haram
MuKHtasar sa ahd-e-waslat de gaya soz-e-dawam
Dopahar ki chhanw daur-e-shadmani ho gaya
Pyas bhi bujhne na pai KHatm pani ho gaya
Le rahi hai karwaTon par karwaTen ba-iztirar
Aag mein para hai ya bistar pe jism-e-be-qarar
PaD gai ek aah kar ke ro ke uTh baiThi kabhi
Ungliyon mein le ke zulf-e-KHam-ba-KHam ainThi kabhi
Aa ke honTon par kabhi mayus aahen tham gain
Aur kabhi suni kalai par nigahen jam gain
Itni duniya mein kahin apni jagah pati nahin
Yas is had ki ki shauhar ki bhi yaad aati nahin
Aa rahe hain yaad paiham sas nandon ke suluk
PhaT raha hai gham se sina uTh rahi hai dil mein huk
Apni man bahnon ka bhi aankhen churana yaad hai
Aisi duniya mein kisi ka chhoD jaana yaad hai
Baghban to qabr mein hai kaun ab dekhe bahaar
KHud usi ko tir us ke karne wale hain shikar
Jab nazar aata nahin deta koi bekas ka sath
Zahr ki shishi ki jaanib KHud-ba-KHud baDhta hai hath
Dil taDap kar kah raha hai jald is duniya ko chhoD
ChuDiyan toDin to phir zanjir-e-hasti ko bhi tod
Dam agar nikla to khoi zindagi mil jaegi
Ye nahin to KHair tanha qabr hi mil jaegi
Wan tujhe zillat ki nazron se na dekhega koi
Chahe hansna chahe rona phir na rokega koi
Wan sab ahl-e-dard hain sab sahab-e-insaf hain
Rahbar aage ja chuka rahen bhi teri saf hain
Dil inhin baaton mein uljha tha ki dam ghabra gaya
Hath le kar zahr ki shishi labon tak aa gaya
Tilmilati aankh jhapkati jhijakti hanpti
Pi gai kul zahr aaKHir thartharaati kanpti
Maut ne jhaTka diya kul uzw Dhile ho gae
Sans ukhDi, nabz Dubi, honT nile ho gae
Aankh jhapki ashk Tapka hichki aai kho gai
Maut ki aaghosh mein ek aah bhar kar so gai
Aur kar ek aah sulge hind ki rasmon ka dam
Ai jawana-marg bewa tujh pe 'kaifi' ka salam