daaera
— Kaifi Azmi
Roz baDhtaa hoon jahaan se aage
Phir vaheen lauT ke aa jaataa hoon
Baar-haa tod chukaa hoon jin ko
Unheen deevaaron se Takraataa hoon
Roz baste hain ka.ee shahr na.e
Roz dhartee men samaa jaate hain
Zalzalon men thee zaraa see garmee
Vo bhee ab roz hee aa jaate hain
Jism se ruuh talak ret hee ret
Na kaheen dhoop na saaya na saraab
Kitne armaan hain kis sahraa men
Kaun rakhtaa hai mazaaron kaa hisaab
Nabz bujhtee bhee bhaDaktee bhee hai
Dil kaa ma.amool hai ghabraanaa bhee
Raat andhere ne andhere se kahaa
Ek aadat hai jiye jaanaa bhee
Qaus ik rang kee hotee hai tuloo
Ek hee chaal bhee paimaane kee
Goshe goshe men khaDee hai masjid
Shakl kya ho ga.ee mai-khaane kee
Koee kahtaa tha samundar hoon main
Aur miree jeb men qatra bhee nahin
Khairiyat apnee likhaa kartaa hoon
Ab to taqdeer men khatra bhee nahin
Apne haathon ko paDhaa kartaa hoon
Kabhee qur.aan kabhi giitaa kee tarah
Chand rekhaaon men seemaaon men
Zindagee qaid hai siitaa kee tarah
Raam kab lauTenge ma.aloom nahin
Kaash raavan hee koi aa jaataa
Roz baDhta hun jahan se aage
Phir wahin lauT ke aa jata hun
Bar-ha tod chuka hun jin ko
Unhin diwaron se Takraata hun
Roz baste hain kai shahr nae
Roz dharti mein sama jate hain
Zalzalon mein thi zara si garmi
Wo bhi ab roz hi aa jate hain
Jism se ruh talak ret hi ret
Na kahin dhup na saya na sarab
Kitne arman hain kis sahra mein
Kaun rakhta hai mazaron ka hisab
Nabz bujhti bhi bhaDakti bhi hai
Dil ka mamul hai ghabrana bhi
Raat andhere ne andhere se kaha
Ek aadat hai jiye jaana bhi
Qaus ek rang ki hoti hai tulu
Ek hi chaal bhi paimane ki
Goshe goshe mein khaDi hai masjid
Shakl kya ho gai mai-KHane ki
Koi kahta tha samundar hun main
Aur meri jeb mein qatra bhi nahin
KHairiyat apni likha karta hun
Ab to taqdir mein KHatra bhi nahin
Apne hathon ko paDha karta hun
Kabhi quran kabhi gita ki tarah
Chand rekhaon mein simaon mein
Zindagi qaid hai sita ki tarah
Ram kab lauTenge malum nahin
Kash rawan hi koi aa jata