ek duaa ab aur kya tiraa biimaar baap degaa tujhe
— Kaifi Azmi
Ab aur kya tiraa beemaar baap degaa tujhe
Bas ik duaa ki khuda tujh ko kaamyaab kare
Vo Taank de tire aanchal men chaand aur taare
Too apne vaaste jis ko bhee intikhaab kare
Ab aur kya tera bimar bap dega tujhe
Bas ek dua ki KHuda tujh ko kaamyab kare
Wo Tank de tere aanchal mein chand aur tare
Tu apne waste jis ko bhi intiKHab kare