intishaar kabhi jumuud kabhi sirf intishaar saa hai

Kaifi Azmi

Kabhi jumood kabhi sirf intishaar saa hai Jahaan ko apnee tabaahee kaa intizaar saa hai Manoo kee machhlee na kashti-e-nooh aur ye fazaa Ki qatre qatre men toofaan be-qaraar saa hai Main kis ko apne garebaan kaa chaak dikhlaa.oon Ki aaj daaman-e-yazdaan bhee taar taar saa hai Sajaa-sanvaar ke jis ko hazaar naaz kiye Usee pe khaaliq-e-kaunain sharmsaar saa hai Tamaam jism hai bedaar fikr khvaabeeda Dimaagh pichhle zamaane kee yaadgaar saa hai Sab apne paanv pe rakh rakh ke paanv chalte hain Khud apne dosh pe har aadmee savaar saa hai Jise pukaariye miltaa hai ik khanDar se javaab Jise bhee dekhiye maazee kaa ishtihaar saa hai Huee to kaise bayaabaan men aa ke shaam huee Ki jo mazaar yahaan hai miraa mazaar saa hai Koee to suud chukaa.e koi to zimma le Us inqalaab kaa jo aaj tak udhaar saa hai Kabhi jumud kabhi sirf intishaar sa hai Jahan ko apni tabahi ka intizar sa hai Manu ki machhli na kashti-e-nuh aur ye faza Ki qatre qatre mein tufan be-qarar sa hai Main kis ko apne gareban ka chaak dikhlaun Ki aaj daman-e-yazdan bhi tar tar sa hai Saja-sanwar ke jis ko hazar naz kiye Usi pe KHaliq-e-kaunain sharmsar sa hai Tamam jism hai bedar fikr KHwabida Dimagh pichhle zamane ki yaadgar sa hai Sab apne panw pe rakh rakh ke panw chalte hain KHud apne dosh pe har aadmi sawar sa hai Jise pukariye milta hai ek khanDar se jawab Jise bhi dekhiye mazi ka ishtihaar sa hai Hui to kaise bayaban mein aa ke sham hui Ki jo mazar yahan hai mera mazar sa hai Koi to sud chukae koi to zimma le Us inqalab ka jo aaj tak udhaar sa hai