khaar o khas to uthen raasta to chale
— Kaifi Azmi
Khaar-o-khas to uThen raasta to chale
Main agar thak gaya qaafila to chale
Chaand sooraj buzurgon ke naqsh-e-qadam
Khair bujhne do un ko havaa to chale
Haakim-e-shahr ye bhee koi shahr hai
Masjiden band hain mai-kada to chale
Us ko maz.hab kaho yaa siyaasat kaho
Khud-kushee kaa hunar tum sikhaa to chale
Itnee laashen main kaise uThaa paa.oongaa
Aap eenTon kee hurmat bachaa to chale
Belche laao kholo zameen kee tahen
Main kahaan dafn hoon Kuch pataa to chale