koi ye kaise bataae koi ye kaise bataae ki wo tanhaa kyuun hai

Kaifi Azmi

Koi ye kaise bataa.e ki wo tanhaa kyuun hai Vo jo apna tha vahee aur kisee kaa kyuun hai Yahee dunya hai to phir aisi ye dunya kyuun hai Yahee hota hai to aakhir yahee hota kyuun hai Ik zaraa haath baDhaa den to pakaD len daaman Un ke siine men samaa jaa.e hamaaree dhaDkan Itnee qurbat hai to phir faasla itnaa kyuun hai Dil-e-barbaad se niklaa nahin ab tak koi Is luTe ghar pe diyaa kartaa hai dastak koi Aas jo Toot ga.ee phir se bandhaataa kyuun hai Tum masarrat kaa kaho yaa ise gham kaa rishta Kahte hain pyaar kaa rishta hai janam kaa rishta Hai janam kaa jo ye rishta to badaltaa kyuun hai Koi ye kaise batae ki wo tanha kyun hai Wo jo apna tha wahi aur kisi ka kyun hai Yahi duniya hai to phir aisi ye duniya kyun hai Yahi hota hai to aaKHir yahi hota kyun hai Ek zara hath baDha den to pakaD len daman Un ke sine mein sama jae hamari dhaDkan Itni qurbat hai to phir fasla itna kyun hai Dil-e-barbaad se nikla nahin ab tak koi Is luTe ghar pe diya karta hai dastak koi Aas jo TuT gai phir se bandhata kyun hai Tum masarrat ka kaho ya ise gham ka rishta Kahte hain pyar ka rishta hai janam ka rishta Hai janam ka jo ye rishta to badalta kyun hai