nae khaake nuquush e hasrat mitaa ke uthnaa khushii kaa parcham udaa ke uthnaa
— Kaifi Azmi
Nuqoosh-e-hasrat miTaa ke uThnaa, khushee kaa parcham uDaa ke uThnaa
Milaa ke sar baiThnaa mubaarak taraana-e-fat.h gaa ke uThnaa
Ye guftugoo guftugoo nahin hai bigaDne banne kaa marhala hai
DhaDak raha hai fazaa kaa siina ki zindagee kaa muaamla hai
Khizaan rahe yaa bahaar aa.e tumhaare haathon men faisla hai
Na chain be-taab bijliyon ko na mutma.in kaarvaan-e-shabnam
Kabhee shagoofon ke garm tevar kabhi gulon kaa mizaaj barham
Shagoofa o gul ke is tasaadum men gulsitaan ban gaya jahannam
Sajaa len sab apnee apnee jannat ab aise khaake banaa ke uThnaa
Khazaana-e-rang-o-noor taareek rahguzaaron men luT raha hai
Uroos-e-gul kaa ghuroor-e-ismat siyaahkaaron men luT raha hai
Tamaam sarmaaya-e-lataafat zaleel khaaron men luT raha hai
GhuTee ghuTee hain numoo kee saansen chhuTee chhuTee nabz-e-gulistaan hai
Hain gursana phool, tishna ghunche, rukhon pe zardee labon pe jaan hai
Asiir hain ham-safeer jab se khizaan chaman men ravaan-davaan hai
Is intishaar-e-chaman kee saugand baab-e-zindaan hilaa ke uThnaa
Hayaat-e-geetee kee aaj badlee huee nigaahen hain inqilaabee
Ufuq se kirnen utar rahi hain bikhertee noor-e-kaamyaabee
Na.ee sahar chaahtee hai khawabon kee bazm men izn-e-baaryaabee
Ye teergee kaa hujoom kab tak ye yaas kaa azhdahaam kab tak
Nifaaq o ghaflat kee aaD le kar jiyegaa murda nizaam kab tak
Rahenge hindee asiir kab tak rahegaa bhaarat ghulaam kab tak
Gale kaa tauq aa rahe qadam par kuch is tarah tilmilaa ke uThnaa
Nuqush-e-hasrat miTa ke uThna, KHushi ka parcham uDa ke uThna
Mila ke sar baiThna mubarak tarana-e-fath ga ke uThna
Ye guftugu guftugu nahin hai bigaDne banne ka marhala hai
DhaDak raha hai faza ka sina ki zindagi ka muamla hai
KHizan rahe ya bahaar aae tumhaare hathon mein faisla hai
Na chain be-tab bijliyon ko na mutmain karwan-e-shabnam
Kabhi shagufon ke garm tewar kabhi gulon ka mizaj barham
Shagufa o gul ke is tasadum mein gulsitan ban gaya jahannam
Saja len sab apni apni jannat ab aise KHake bana ke uThna
KHazana-e-rang-o-nur tarik rahguzaron mein luT raha hai
Urus-e-gul ka ghurur-e-ismat siyahkaron mein luT raha hai
Tamam sarmaya-e-latafat zalil KHaron mein luT raha hai
GhuTi ghuTi hain numu ki sansen chhuTi chhuTi nabz-e-gulistan hai
Hain gursana phul, tishna ghunche, ruKHon pe zardi labon pe jaan hai
Asir hain ham-safir jab se KHizan chaman mein rawan-dawan hai
Is intishaar-e-chaman ki saugand bab-e-zindan hila ke uThna
Hayat-e-giti ki aaj badli hui nigahen hain inqilabi
Ufuq se kirnen utar rahi hain bikherti nur-e-kaamyabi
Nai sahar chahti hai KHwabon ki bazm mein izn-e-baryabi
Ye tirgi ka hujum kab tak ye yas ka azhdaham kab tak
Nifaq o ghaflat ki aaD le kar jiyega murda nizam kab tak
Rahenge hindi asir kab tak rahega bhaarat ghulam kab tak
Gale ka tauq aa rahe qadam par kuch is tarah tilmila ke uThna