nauha rehne ko sadaa dahr men aataa nahin koi
— Kaifi Azmi
Rehne ko sadaa dahr men aataa nahin koi
Tum jaise ga.e aise bhee jaataa nahin koi
Dartaa hoon kaheen khushk na ho jaa.e samundar
Raakh apnee kabhi aap bahaataa nahin koi
Ik baar to khud maut bhee ghabraa ga.ee hogee
Yuun maut ko siine se lagaataa nahin koi
Maanaa ki ujaalon ne tumhen daagh diye the
Be-raat Dhale sham.a bujhaataa nahin koi
Saaqee se gilaa tha tumhen mai-khaane se shikva
Ab zahr se bhee pyaas bujhaataa nahin koi
Har sub.h hilaa deta tha zanjeer zamaana
Kyuun aaj divaane ko jagaataa nahin koi
Arthee to uThaa lete hain sab ashk bahaa ke
Naaz-e-dil-e-betaab uThaataa nahin koi
Rahne ko sada dahr mein aata nahin koi
Tum jaise gae aise bhi jata nahin koi
Darta hun kahin KHushk na ho jae samundar
Rakh apni kabhi aap bahata nahin koi
Ek bar to KHud maut bhi ghabra gai hogi
Yun maut ko sine se lagata nahin koi
Mana ki ujalon ne tumhein dagh diye the
Be-raat Dhale shama bujhata nahin koi
Saqi se gila tha tumhein mai-KHane se shikwa
Ab zahr se bhi pyas bujhata nahin koi
Har subh hila deta tha zanjir zamana
Kyun aaj diwane ko jagata nahin koi
Arthi to uTha lete hain sab ashk baha ke
Naz-e-dil-e-betab uThata nahin koi