nazraana
— Kaifi Azmi
Tum pareshaan na ho, baab-e-karam vaa na karo
Aur kuch der pukaaroongaa chalaa jaa.oongaa
Usee kooche men jahaan chaand ugaa karte hain
Shab-e-taareek guzaaroongaa, chalaa jaa.oongaa
Raasta bhuul gaya, yaa yahee manzil hai miree
Koee laayaa hai ki khud aayaa hoon ma.aloom nahin
Kahte hain husn kee nazren bhee haseen hotee hain
Main bhee kuch laayaa hoon, kya laayaa hoon ma.aloom nahin
Yuun to jo kuch tha mire paas main sab bech aayaa
Kaheen in.aam milaa, aur kaheen qeemat bhee nahin
Kuchh tumhaare liye aankhon men chhupaa rakkhaa hai
Dekh lo aur na dekho to shikaayat bhee nahin
Ek to itnee haseen doosre ye aaraa.ish
Jo nazar paDtee hai chehre pe Thahar jaatee hai
Muskuraa detee ho rasman bhee agar mahfil men
Ik dhanak Toot ke seenon men bikhar jaatee hai
Garm boson se taraashaa huaa naazuk paikar
Jis kee ik aanch se har ruuh pighal jaatee hai
Main ne sochaa hai ki sab sochte honge shaayad
Pyaas is tarah bhee kya saanche men Dhal jaatee hai
Kyaa kamee hai jo karogee miraa nazraana qubool
Chaahne vaale bahut, chaah ke afsaane bahut
Ek hee raat sahee garmee-e-hangaama-e-ishq
Ek hee raat men jal marte hain parvaane bahut
Phir bhee ik raat men sau tarah ke moD aate hain
Kaash tum ko kabhi tanhaa.ee kaa ehsaas na ho
Kaash aisa na ho ghere rahe dunya tum ko
Aur is tarah ki jis tarah koi paas na ho
Aaj kee raat jo meree hee tarah tanhaa hai
Main kisee tarah guzaaroongaa chalaa jaa.oongaa
Tum pareshaan na ho, baab-e-karam vaa na karo
Aur kuch der pukaaroongaa chalaa jaa.oongaa
Tum pareshan na ho, bab-e-karam wa na karo
Aur kuch der pukarunga chala jaunga
Usi kuche mein jahan chand uga karte hain
Shab-e-tarik guzarunga, chala jaunga
Rasta bhul gaya, ya yahi manzil hai meri
Koi laya hai ki KHud aaya hun malum nahin
Kahte hain husn ki nazren bhi hasin hoti hain
Main bhi kuch laya hun, kya laya hun malum nahin
Yun to jo kuch tha mere pas main sab bech aaya
Kahin inam mila, aur kahin qimat bhi nahin
Kuchh tumhaare liye aankhon mein chhupa rakkha hai
Dekh lo aur na dekho to shikayat bhi nahin
Ek to itni hasin dusre ye aaraish
Jo nazar paDti hai chehre pe Thahar jati hai
Muskura deti ho rasman bhi agar mahfil mein
Ek dhanak TuT ke sinon mein bikhar jati hai
Garm boson se tarasha hua nazuk paikar
Jis ki ek aanch se har ruh pighal jati hai
Main ne socha hai ki sab sochte honge shayad
Pyas is tarah bhi kya sanche mein Dhal jati hai
Kya kami hai jo karogi mera nazrana qubul
Chahne wale bahut, chah ke afsane bahut
Ek hi raat sahi garmi-e-hangama-e-ishq
Ek hi raat mein jal marte hain parwane bahut
Phir bhi ek raat mein sau tarah ke moD aate hain
Kash tum ko kabhi tanhai ka ehsas na ho
Kash aisa na ho ghere rahe duniya tum ko
Aur is tarah ki jis tarah koi pas na ho
Aaj ki raat jo meri hi tarah tanha hai
Main kisi tarah guzarunga chala jaunga
Tum pareshan na ho, bab-e-karam wa na karo
Aur kuch der pukarunga chala jaunga