pashemaanii main ye soch kar us ke dar se uthaa tha
— Kaifi Azmi
Main ye soch kar us ke dar se uThaa tha
Ki wo rok legee manaa legee mujh ko
Havaaon men lahraataa aataa tha daaman
Ki daaman pakaD kar biThaa legee mujh ko
Qadam aise andaaz se uTh rahe the
Ki awaaz de kar bulaa legee mujh ko
Magar us ne rokaa na mujh ko manaayaa
Na daaman hee pakDaa na mujh ko biThaayaa
Na awaaz hee dee na mujh ko bulaayaa
Main aahista aahista baDhtaa hee aayaa
Yahaan tak ki us se judaa ho gaya main
Main ye soch kar us ke dar se uTha tha
Ki wo rok legi mana legi mujh ko
Hawaon mein lahraata aata tha daman
Ki daman pakaD kar biTha legi mujh ko
Qadam aise andaz se uTh rahe the
Ki aawaz de kar bula legi mujh ko
Magar us ne roka na mujh ko manaya
Na daman hi pakDa na mujh ko biThaya
Na aawaz hi di na mujh ko bulaya
Main aahista aahista baDhta hi aaya
Yahan tak ki us se juda ho gaya main