piir e tasma e paa
— Kaifi Azmi
Mere kaandhe pe baiThaa koi
PaDhtaa rahtaa hai injeel o qur.aan o ved
Makkhiyaan kaan men bhinbhinaatee hain
Zakhmee hain kaan
Apnee awaaz kaise sunoon
Raanaa hindoo tha akbar musalmaan tha
Sanjai wo pahlaa insaan tha
Hastinaapur men jis ne qabl-e-maseeh
Television banaayaa
Aur ghar baiThe ik andhe raaja ko
Yudh kaa tamaasha dikhaayaa
Aadmee chaand par aaj utraa to kya
Ye taraqqee nahin
Ab se pahle, bahut pahle
Jab zarra TuuTaa na tha
Chashma jauhar kaa phooTaa na tha
Farsh se arsh tak jaa chukaa hai koi
Ye aur aisi bahut see jahaalat kee baaten
Mere kaandhe pe hotee hain
Kaandhe jhuke jaa rahe hain
Qad miraa raat din ghaT raha hai
Sar kaheen paanv se mil na jaa.e
Mere kandhe pe baiTha koi
PaDhta rehta hai injil o quran o wed
Makkhiyan kan mein bhinbhinati hain
ZaKHmi hain kan
Apni aawaz kaise sunun
Rana hindu tha akbar musalman tha
Sanjai wo pahla insan tha
Hastinapur mein jis ne qabl-e-masih
Telewision banaya
Aur ghar baiThe ek andhe raja ko
Yudh ka tamasha dikhaya
Aadmi chand par aaj utra to kya
Ye taraqqi nahin
Ab se pahle, bahut pahle
Jab zarra TuTa na tha
Chashma jauhar ka phuTa na tha
Farsh se arsh tak ja chuka hai koi
Ye aur aisi bahut si jahaalat ki baaten
Mere kandhe pe hoti hain
Kandhe jhuke ja rahe hain
Qad mera raat din ghaT raha hai
Sar kahin panw se mil na jae