pyaar kaa jashn pyaar kaa jashn naii tarah manaanaa hogaa
— Kaifi Azmi
Pyaar kaa jashn na.ee tarah manaanaa hogaa
Gham kisee dil men sahee gham ko miTaanaa hogaa
Kaanpte honTon pe paimaan-e-wafa kya kahnaa
Tujh ko laa.ee hai kahaan laghzish-e-paa kya kahnaa
Mere ghar men tire mukhDe kee ziyaa kya kahnaa
Aaj har ghar kaa diyaa mujh ko jalaanaa hogaa
Ruuh chehron pe dhuaan dekh ke sharmaatee hai
Jhenpee jhenpee see mire lab pe hansee aatee hai
Tere milne kee khushee dard banee jaatee hai
Ham ko hansnaa hai to auron ko hansaanaa hogaa
Soee soee huee aa.ankhon men chhalakte hue jaam
Khoee khoee huee nazron men mohabbat kaa payaam
Lab sheereen pe miree tishna-labee kaa in.aam
Jaane in.aam milegaa ki churaanaa hogaa
Meree gardan men tiree sandalee baahon kaa ye haar
Abhee aansoo the in aa.ankhon men abhee itnaa khumaar
Main na kahtaa tha mire ghar men bhee aa.egee bahaar
Shart itnee thee ki pahle tujhe aanaa hogaa
Pyar ka jashn nai tarah manana hoga
Gham kisi dil mein sahi gham ko miTana hoga
Kanpte honTon pe paiman-e-wafa kya kahna
Tujh ko lai hai kahan laghzish-e-pa kya kahna
Mere ghar mein tere mukhDe ki ziya kya kahna
Aaj har ghar ka diya mujh ko jalana hoga
Ruh chehron pe dhuan dekh ke sharmati hai
Jhenpi jhenpi si mere lab pe hansi aati hai
Tere milne ki KHushi dard bani jati hai
Hum ko hansna hai to auron ko hansana hoga
Soi soi hui aaankhon mein chhalakte hue jam
Khoi khoi hui nazron mein mohabbat ka payam
Lab shirin pe meri tishna-labi ka inam
Jaane inam milega ki churana hoga
Meri gardan mein teri sandali bahon ka ye haar
Abhi aansu the in aaankhon mein abhi itna KHumar
Main na kahta tha mere ghar mein bhi aaegi bahaar
Shart itni thi ki pahle tujhe aana hoga