saanp

Kaifi Azmi

Ye saanp aaj jo phan uThaa.e Mire raaste men khaDaa hai PaDaa tha qadam chaand par meraa jis din Usee din ise maar Daalaa tha main ne UkhaaDe the sab daant kuchlaa tha sar bhee MaroDee thee dum tod dee thee kamar bhee Magar chaand se jhuk ke dekhaa jo main ne To dum is kee hilne lagee thee Ye kuch rengne bhee lagaa tha Ye kuch rengtaa kuch ghisaTtaa huaa Puraane shivaale kee jaanib chalaa Jahaan duudh is ko pilaayaa gaya PaDhe panditon ne ka.ee mantar aise Ye kam-bakht phir se jilaayaa gaya Shivaale se niklaa wo phunkaartaa Rag-e-arz par Dank saa maartaa BaDhaa main ki ik baar phir sar kuchal duun Ise bhaaree qadmon se apne masal duun Qareeb ek veeraan masjid thii, masjid men Ye jaa chhupaa Jahaan is ko petrol se ghusl de kar Haseen ek ta.aveez gardan men Daalaa gaya Huaa jitnaa sadiyon men insaan buland Ye kuch us se oonchaa uchhaalaa gaya Uchhal ke ye girjaa kee dahleez par jaa giraa Jahaan is ko sone kee kechul pahnaa.ee ga.ee Saleeb ek chaandee kee siine pe us ke sajaa.ee ga.ee Diyaa jis ne dunya ko paighaam-e-amn Usee ke hayaat-aafreen naam par Use jang-baazee sikhaa.ee ga.ee Bamon kaa guloo-band gardan men Daalaa Aur is dhaj se maidaan men us ko nikaalaa PaDaa us kaa dhartee pe saaya To dhartee kee raftaar rukne lagee Andheraa andheraa zameen se Falak tak andheraa Jabeen chaand taaron kee jhukne lagee Huee jab se science zar kee mutee.a Jo tha alam kaa aitbaar uTh gaya Aur is saanp ko zindagee mil ga.ee Ise ham ne zahhaak ke bhaaree kaandhe pe dekhaa tha ik din Ye hindoo nahin hai musalmaan nahin Ye donon kaa maghz aur Khoon chaaTtaa hai Bane jab ye hindoo musalmaan insaan Usee din ye kam-bakht mar jaa.egaa Ye sanp aaj jo phan uThae Mere raste mein khaDa hai PaDa tha qadam chand par mera jis din Usi din ise mar Dala tha main ne UkhaDe the sab dant kuchla tha sar bhi MaroDi thi dum tod di thi kamar bhi Magar chand se jhuk ke dekha jo main ne To dum is ki hilne lagi thi Ye kuch rengne bhi laga tha Ye kuch rengta kuch ghisaTta hua Purane shiwale ki jaanib chala Jahan dudh is ko pilaya gaya PaDhe panditon ne kai mantar aise Ye kam-baKHt phir se jilaya gaya Shiwale se nikla wo phunkarta Rag-e-arz par Dank sa marta BaDha main ki ek bar phir sar kuchal dun Ise bhaari qadmon se apne masal dun Qarib ek viran masjid thi, masjid mein Ye ja chhupa Jahan is ko petrol se ghusl de kar Hasin ek tawiz gardan mein Dala gaya Hua jitna sadiyon mein insan buland Ye kuch us se uncha uchhaala gaya Uchhal ke ye girja ki dahliz par ja gira Jahan is ko sone ki kechul pahnai gai Salib ek chandi ki sine pe us ke sajai gai Diya jis ne duniya ko paigham-e-amn Usi ke hayat-afrin nam par Use jang-bazi sikhai gai Bamon ka gulu-band gardan mein Dala Aur is dhaj se maidan mein us ko nikala PaDa us ka dharti pe saya To dharti ki raftar rukne lagi Andhera andhera zamin se Falak tak andhera Jabin chand taron ki jhukne lagi Hui jab se science zar ki mutia Jo tha alam ka e'tibar uTh gaya Aur is sanp ko zindagi mil gai Ise hum ne zahhak ke bhaari kandhe pe dekha tha ek din Ye hindu nahin hai musalman nahin Ye donon ka maghz aur KHun chaTta hai Bane jab ye hindu musalman insan Usi din ye kam-baKHt mar jaega