sunaa karo mirii jaan in se un se afsaane
— Kaifi Azmi
Sunaa karo miree jaan in se un se afsaane
Sab ajnabee hain yahaan kaun kis ko pahchaane
Yahaan se jald guzar jaao qaafile vaalo
Hain meree pyaas ke phoonke hue ye veeraane
Mire junoon-e-parastish se tang aa ga.e log
Sunaa hai band kiye jaa rahe hain but-khaane
Jahaan se pichhle pahar koee tishna-kaam uThaa
Vaheen pe toDe hain yaaron ne aaj paimaane
Bahaar aa.e to meraa salaam kah denaa
Mujhe to aaj talab kar liyaa hai sahraa ne
Huaa hai hukm ki 'kaifee' ko sangsaar karo
Maseeh baiThe hain chhup ke kahaan khuda jaane