taaj mahal
— Kaifi Azmi
Dost! main dekh chukaa taaj-mahal
.....vaapas chal
Marmareen marmareen phoolon se ubaltaa hiiraa
Chaand kee aanch men dahke hue seemeen meenaar
Zehn-e-shaa.er se ye kartaa huaa chashmak paiham
Ek malika kaa ziyaa-posh o fazaa-taab mazaar
Khud ba-khud phir ga.e nazron men ba-andaaz-e-savaal
Vo jo raston pe paDe rahte hain laashon kee tarah
Khushk ho kar jo simaT jaate hain be-ras a.asaab
Dhuup men khopDiyaan bajtee hain taashon kee tarah
Dost main dekh chukaa taaj-mahal
.....vaapas chal
Ye dhaDaktaa huaa gumbad men dil-e-shaahjahaan
Ye dar-o-baam pe hanstaa huaa malika kaa shabaab
Jagmagaataa hai har ik tah se mazaaq-e-tafreeq
Aur taareekh uDhaatee hai mohabbat kee naqaab
Chaandnee aur ye mahal aalam-e-hairat kee qasam
Duudh kee nahr men jis tarah ubaal aa jaa.e
Aise sayyaah kee nazron men khupe kya ye samaan
Jis ko farhaad kee qismat kaa khayaal aa jaa.e
Dost main dekh chukaa taaj-mahal
.....vaapas chal
Ye damaktee huee chaukhaT ye tilaa-posh kalas
Inheen jalvon ne diyaa qabr-parastee ko rivaaj
Maah o anjum bhee hue jaate hain majboor-e-sujood
Vaah aaraam-gah-e-malika-e-ma.abood-mizaaj
Deedanee qasr nahin deedanee taqseem hai ye
Roo-e-hastee pe dhuaan qabr pe raqs-e-anvaar
Phail jaa.e isee rauza kaa jo simTaa daaman
Kitne jaan-daar janaazon ko bhee mil jaa.e mazaar
Dost main dekh chukaa taaj-mahal
.....vaapas chal
Dost! main dekh chuka taj-mahal
Wapas chal
Marmarin marmarin phulon se ubalta hira
Chand ki aanch mein dahke hue simin minar
Zehn-e-shaer se ye karta hua chashmak paiham
Ek malika ka ziya-posh o faza-tab mazar
KHud ba-KHud phir gae nazron mein ba-andaz-e-sawal
Wo jo raston pe paDe rahte hain lashon ki tarah
KHushk ho kar jo simaT jate hain be-ras aasab
Dhup mein khopDiyan bajti hain tashon ki tarah
Dost main dekh chuka taj-mahal
Wapas chal
Ye dhaDakta hua gumbad mein dil-e-shahjahan
Ye dar-o-baam pe hansta hua malika ka shabab
Jagmagata hai har ek tah se mazaq-e-tafriq
Aur tariKH uDhati hai mohabbat ki naqab
Chandni aur ye mahal aalam-e-hairat ki qasam
Dudh ki nahr mein jis tarah ubaal aa jae
Aise sayyah ki nazron mein khupe kya ye saman
Jis ko farhad ki qismat ka KHayal aa jae
Dost main dekh chuka taj-mahal
Wapas chal
Ye damakti hui chaukhaT ye tila-posh kalas
Inhin jalwon ne diya qabr-parasti ko riwaj
Mah o anjum bhi hue jate hain majbur-e-sujud
Wah aaram-gah-e-malika-e-mabud-mizaj
Didani qasr nahin didani taqsim hai ye
Ru-e-hasti pe dhuan qabr pe raqs-e-anwar
Phail jae isi rauza ka jo simTa daman
Kitne jaan-dar janazon ko bhi mil jae mazar
Dost main dekh chuka taj-mahal
Wapas chal