talaash
— Kaifi Azmi
Ye bujhee see shaam ye sahmee huee parchhaa.iyaan
Khoon-e-dil bhee is fazaa men rang bhar saktaa nahin
Aa utar aa kaanpte honTon pe ai maayoos aah
Saqf-e-zindaan par koi parvaaz kar saktaa nahin
Jhilmilaa.e meree palkon pe mah-o-khur bhee to kya?
Is andhere ghar men ik taaraa utar saktaa nahin
LuuT lee zulmat ne roo-e-hind kee taabindagee
Raat ke kaandhe pe sar rakh kar sitaare so ga.e
Vo bhayaanak aandhiyaan, wo abtaree, wo khalfashaar
Kaarvaan be-raah ho niklaa, musaafir kho ga.e
Hain isee aivaan-e-be-dar men yaqeenan rahnumaa
Aa ke kyuun deevaar tak naqsh-e-qadam gum ho ga.e
Dekh ai josh-e-amal wo saqf ye deevaar hai
Ek rauzan khol denaa bhee koi dushvaar hai
Ye bujhi si sham ye sahmi hui parchhaiyan
KHun-e-dil bhi is faza mein rang bhar sakta nahin
Aa utar aa kanpte honTon pe ai mayus aah
Saqf-e-zindan par koi parwaz kar sakta nahin
Jhilmilae meri palkon pe mah-o-KHur bhi to kya?
Is andhere ghar mein ek tara utar sakta nahin
LuT li zulmat ne ru-e-hind ki tabindagi
Raat ke kandhe pe sar rakh kar sitare so gae
Wo bhayanak aandhiyan, wo abtari, wo KHalfashaar
Karwan be-rah ho nikla, musafir kho gae
Hain isi aiwan-e-be-dar mein yaqinan rahnuma
Aa ke kyun diwar tak naqsh-e-qadam gum ho gae
Dekh ai josh-e-amal wo saqf ye diwar hai
Ek rauzan khol dena bhi koi dushwar hai