tasavvur ye kis tarah yaad aa rahii ho ye khvaab kaisaa dikhaa rahii ho
— Kaifi Azmi
Ye kis tarah yaad aa rahi ho ye khvaab kaisaa dikhaa rahi ho
Ki jaise sach-much nigaah ke saamne khaDee muskuraa rahi ho
Ye jism-e-naazuk, ye narm baahen, haseen gardan, siDaul baazoo
Shagufta chehra, salonee rangat, ghaneraa jooDaa, siyaah gesoo
Nasheelee aankhen, raseelee chitvan, daraaz palken, maheen abroo
Tamaam shokhee, tamaam bijlee, tamaam mastee, tamaam jaadoo
Hazaaron jaadoo jagaa rahi ho
Ye khvaab kaisaa dikhaa rahi ho
Gulaabee lab, muskuraate aariz, jabeen kushaada, buland qaamat
Nigaah men bijliyon kee jhil-mil, adaaon men shabnamee lataafat
DhaDaktaa seena, mahaktee saansen, navaa men ras, ankhDiyon men amrit
Hama halaavat, hama malaahat, hama tarannum, hama nazaakat
Lachak lachak gungunaa rahi ho
Ye khvaab kaisaa dikhaa rahi ho
To kya mujhe tum jalaa hee logee gale se apne lagaa hee logee
Jo phuul juuDe se gir paDaa hai taDap ke us ko uThaa hee logee
BhaDakte sho.alon, kaDaktee bijlee se meraa khirman bachaa hee logee
Ghaneree zulfon kee Chaaon men muskuraa ke mujh ko chhupaa hee logee
Ki aaj tak aazmaa rahi ho
Ye khvaab kaisaa dikhaa rahi ho
Naheen mohabbat kee koi qeemat jo koi qeemat adaa karogee
Vafaa kee fursat na degee dunya hazaar azm-e-wafa karogee
Mujhe bahalne do ranj-o-gham se sahaare kab tak diyaa karogee
Junoon ko itnaa na gudgudaao, pakaD luun daaman to kya karogee
Qareeb baDhtee hee aa rahi ho
Ye khvaab kaisaa dikhaa rahi ho
Ye kis tarah yaad aa rahi ho ye KHwab kaisa dikha rahi ho
Ki jaise sach-much nigah ke samne khaDi muskura rahi ho
Ye jism-e-nazuk, ye narm bahen, hasin gardan, siDaul bazu
Shagufta chehra, saloni rangat, ghanera juDa, siyah gesu
Nashili aankhen, rasili chitwan, daraaz palken, mahin abru
Tamam shoKHi, tamam bijli, tamam masti, tamam jadu
Hazaron jadu jaga rahi ho
Ye KHwab kaisa dikha rahi ho
Gulabi lab, muskuraate aariz, jabin kushada, buland qamat
Nigah mein bijliyon ki jhil-mil, adaon mein shabnami latafat
DhaDakta sina, mahakti sansen, nawa mein ras, ankhDiyon mein amrit
Hama halawat, hama malahat, hama tarannum, hama nazakat
Lachak lachak gunguna rahi ho
Ye KHwab kaisa dikha rahi ho
To kya mujhe tum jala hi logi gale se apne laga hi logi
Jo phul juDe se gir paDa hai taDap ke us ko uTha hi logi
BhaDakte shoalon, kaDakti bijli se mera KHirman bacha hi logi
Ghaneri zulfon ki chhanw mein muskura ke mujh ko chhupa hi logi
Ki aaj tak aazma rahi ho
Ye KHwab kaisa dikha rahi ho
Nahin mohabbat ki koi qimat jo koi qimat ada karogi
Wafa ki fursat na degi duniya hazar azm-e-wafa karogi
Mujhe bahalne do ranj-o-gham se sahaare kab tak diya karogi
Junun ko itna na gudgudao, pakaD lun daman to kya karogi
Qarib baDhti hi aa rahi ho
Ye KHwab kaisa dikha rahi ho