tum

Kaifi Azmi

Shaguftagee kaa lataafat kaa shaahkaar ho tum Faqat bahaar nahin haasil-e-bahaar ho tum Jo ek phuul men hai qaid wo gulistaan ho Jo ik kalee men hai pinhaan wo laala-zaar ho tum Halaavaton kee tamannaa, malaahaton kee muraad Ghuroor kaliyon kaa phoolon kaa inkisaar ho tum Jise tarang men fitrat ne gungunaayaa hai Vo bhairveen ho, wo deepak ho wo malhaar ho tum Tumhaare jism men khvaabeeda hain hazaaron raag Nigaah chheDtee hai jis ko wo sitaar ho tum Jise uThaa na sakee justujoo wo motee ho Jise na goondh sakee aarzoo wo haar ho tum Jise na buujh sakaa ishq wo pahelee ho Jise samajh na sakaa pyaar bhee wo pyaar ho tum Khudaa kare kisee daaman men jazb ho na saken Ye mere ashk-e-haseen jin se aashkaar ho tum Shaguftagi ka latafat ka shahkar ho tum Faqat bahaar nahin hasil-e-bahaar ho tum Jo ek phul mein hai qaid wo gulistan ho Jo ek kali mein hai pinhan wo lala-zar ho tum Halawaton ki tamanna, malahaton ki murad Ghurur kaliyon ka phulon ka inkisar ho tum Jise tarang mein fitrat ne gungunaya hai Wo bhairwin ho, wo dipak ho wo malhaar ho tum Tumhaare jism mein KHwabida hain hazaron rag Nigah chheDti hai jis ko wo sitar ho tum Jise uTha na saki justuju wo moti ho Jise na gundh saki aarzu wo haar ho tum Jise na bujh saka ishq wo paheli ho Jise samajh na saka pyar bhi wo pyar ho tum KHuda kare kisi daman mein jazb ho na saken Ye mere ashk-e-hasin jin se aashkar ho tum