uljhanen
— Kaifi Azmi
Zabaan ko tarjumaan-e-gham banaa.oon kis tarah 'kaifee'
Main barg-e-gul se angaare uThaa.oon kis tarah 'kaifee'
Samajh men kis kee aa.e raaz mere hichkichaane kaa
Andhere men chalaa kartaa hai har naavak zamaane kaa
Nigaah-e-mast kee allaah-re ma.asoom taakeeden
Mujhe hai hukm saaz-e-muflisee par gungunaane kaa
Main saaz-e-muflisee par gungunaa.oon kis tarah 'kaifee'
Hansee bhee meree nauha hai miraa naghma bhee maatam hai
Junoon bhee mujh se barham hai khirad bhee mujh se barham hai
Sulagtaa shauq pighalte valvale jaltee tamannaa.en
Zameen meree jahannam hai falak meraa jahannam hai
Khayaalee jannaton men baith jaaon kis tarah 'kaifee'
Ye tauq-e-bandagee wo phuul see gardan ma.aaz-allaah
Vo shahd-aalood lab aur talkhee-e-shevan ma.aaz-allaah
Kamaal-e-husn aur ye inkisaar-e-ishq are tauba
Vo naazuk haath meraa gosha-e-daaman ma.aaz-allaah
JhaTak kar gosha-e-daaman chhuDaa.oon kis tarah 'kaifee'
Naved-e-sub.h suntaa hee nahin rangeen khvaab us kaa
Ghiraa jaataa hai zulmat-rez kirnon men shabaab us kaa
Mujhe fursat nahin rangeeniyon men Doob jaane kee
Use deta ye dhokaa aitbaar-e-intikhaab us kaa
Haqeeqat mast aa.ankhon ko dikhaa.oon kis tarah 'kaifee'
Fanaa men huzn-deeda zindagee zam hotee jaatee hai
Thakee nabzon kee khasta zarb maddham hotee jaatee hai
Ye armaanon kaa mausam ye miree girtee huee sehhat
Andheree raat aur lau sham.a kee kam hotee jaatee hai
Shabistaan-e-wafa ko jagmagaa.oon kis tarah 'kaifee'
Niraalee jast karnaa hai na.e raste pe chalnaa hai
Na.e sho.alon men tapnaa hai na.e saanche men Dhalnaa hai
Yahee do chaar saansen jo abhee mujh ko sambhaale hain
Inheen do chaar saanson men zamaane ko badalnaa hai
Inhen bhee sard geeton men ganvaa.oon kis tarah 'kaifee'
Pareshaan qaafile ne ab nishaan manzil kaa paayaa hai
Dhundlakon ke udhar ik surkh taaraa jhilmilaayaa hai
Chale hain haanpte insaan na.ee dunya basaane ko
Bahut aise hain in men jin ko khud main ne baDhaayaa hai
Main khud hee raaste se lauT aa.uun kis tarah 'kaifee'
Zaban ko tarjuman-e-gham banaun kis tarah 'kaifi'
Main barg-e-gul se angare uThaun kis tarah 'kaifi'
Samajh mein kis ki aae raaz mere hichkichane ka
Andhere mein chala karta hai har nawak zamane ka
Nigah-e-mast ki allah-re masum takiden
Mujhe hai hukm saz-e-muflisi par gungunane ka
Main saz-e-muflisi par gungunaun kis tarah 'kaifi'
Hansi bhi meri nauha hai mera naghma bhi matam hai
Junun bhi mujh se barham hai KHirad bhi mujh se barham hai
Sulagta shauq pighalte walwale jalti tamannaen
Zamin meri jahannam hai falak mera jahannam hai
KHayali jannaton mein baith jaun kis tarah 'kaifi'
Ye tauq-e-bandagi wo phul si gardan maaz-allah
Wo shahd-alud lab aur talKHi-e-shewan maaz-allah
Kamal-e-husn aur ye inkisar-e-ishq are tauba
Wo nazuk hath mera gosha-e-daman maaz-allah
JhaTak kar gosha-e-daman chhuDaun kis tarah 'kaifi'
Nawed-e-subh sunta hi nahin rangin KHwab us ka
Ghira jata hai zulmat-rez kirnon mein shabab us ka
Mujhe fursat nahin ranginiyon mein Dub jaane ki
Use deta ye dhoka e'tibar-e-intiKHab us ka
Haqiqat mast aaankhon ko dikhaun kis tarah 'kaifi'
Fana mein huzn-dida zindagi zam hoti jati hai
Thaki nabzon ki KHasta zarb maddham hoti jati hai
Ye armanon ka mausam ye meri girti hui sehhat
Andheri raat aur lau shama ki kam hoti jati hai
Shabistan-e-wafa ko jagmagaun kis tarah 'kaifi'
Nirali jast karna hai nae raste pe chalna hai
Nae shoalon mein tapna hai nae sanche mein Dhalna hai
Yahi do chaar sansen jo abhi mujh ko sambhaale hain
Inhin do chaar sanson mein zamane ko badalna hai
Inhen bhi sard giton mein ganwaun kis tarah 'kaifi'
Pareshan qafile ne ab nishan manzil ka paya hai
Dhundlakon ke udhar ek surKH tara jhilmilaya hai
Chale hain hanpte insan nai duniya basane ko
Bahut aise hain in mein jin ko KHud main ne baDhaya hai
Main KHud hi raste se lauT aaun kis tarah 'kaifi'