wo bhi saraahne lage arbaab e fan ke baad

Kaifi Azmi

Wo bhee saraahne lage arbaab-e-fan ke ba.ad Daad-e-sukhan milee mujhe tark-e-sukhan ke ba.ad Deevaana-vaar chaand se aage nikal ga.e Thahraa na dil kaheen bhee tiree anjuman ke ba.ad HonTon ko see ke dekhiye pachhtaa.iyegaa aap Hangaame jaag uThte hain aksar ghuTan ke ba.ad Ghurbat kee ThanDee Chaaon men yaad aa.ee us kee dhoop Qadr-e-vatan huee hamen tark-e-vatan ke ba.ad Elaan-e-haq men khatra-e-daar-o-rasan to hai Lekin savaal ye hai ki daar-o-rasan ke ba.ad Insaan kee khvaahishon kee koee intihaa naheen Do gaz zameen bhee chaahiye do gaz kafan ke ba.ad