yaa dil ki suno dunya vaalo yaa mujh ko Abhi chup rehne do
— Kaifi Azmi
Yaa dil kee suno dunya vaalo yaa mujh ko abhee chup rehne do
Main gham ko khushee kaise kah duun jo kahte hain un ko kahne do
Ye phuul chaman men kaisaa khilaa maalee kee nazar men pyaar nahin
Hanste hue kya kya dekh liyaa ab bahte hain aansoo bahne do
Ik khvaab khushee kaa dekhaa nahin dekhaa jo kabhi to bhuul ga.e
Maangaa huaa tum kuch de na sake jo tum ne diyaa wo sahne do
Kya dard kisee kaa legaa koi itnaa to kisee men dard nahin
Bahte hue aansoo aur bahen ab aisi tasallee rehne do