darmiyaan khud apnii hasti ho to ham bhi kya karen

Khalilur Rahman Azmi

Darmiyaan khud apnee hastee ho to ham bhee kya karen Aa.eena dekhen ki apne-aap se pardaa karen Haal ke sailaab men to bah ga.ee maazee kee laash Dafn ab kis kee galee men ham gham-e-fardaa karen Ek do pal hee rahegaa sab ke chehron kaa tilism Koi aisa ho ki jis ko der tak dekhaa karen Ye to sach hai zahr lagte hain hamen bastee ke log Kis tavaqqo par magar aabaad ye sahraa karen Sar-phire sab jam.a hon sab ke saron par ho charaagh Bas chale to ham bhee aisa jashn ik barpaa karen