ham ahl e gam bhi rakhte hain jaaduu bayaaniyaan

Khalilur Rahman Azmi

Ham ahl-e-gham bhee rakhte hain jaadoo-bayaaniyaan Ye aur baat hai ki suneen lan-taraaniyaan Sharminda kar na mujh ko miraa haal poochh kar Le de ke rah ga.ee hain yahee be-zabaaniyaan Kam kya thaa ham faqeeron ko aashob-e-rozgaar Kyuun yaad aa rahee hain tiree mehrbaaniyaan Daaman ke chaak chaak men hai mausam-e-bahaar Aao ki khoon-e-dil se karen guf-fishaaniyaan Ahl-e-zamaana tum bhee baDe vaqt par mile Kuch baar ho chalee thiin miree shaadmaaniyaan Tum ne bhulaa diyaa to na.ee baat kya huee Rahtee hain yaad kis ko wafa kee kahaaniyaan Jee khol kar luTaa.enge ab teree raah men Tere balaa-kashon ko milee hain javaaniyaan Rakh lo ki zindagee men kabhi kaam aa.engee Deevaangaan-e-ishq kee bhee Kuch nishaaniyaan